SEARCH RESULTS
Showing search results for "ba-zid"
Ghazal MATCHES FOR "ba-zid"
Ghazal
jo kahaa jis ne ba-zid hai use manvaane me.n
baat kuchh aur ulajhtii ga.ii suljhaane me.n
Naushad Ashhar
Ghazal
dil bhii ba-zid hai aur taqaazaa-e-yaar bhii
ik bojh hai anaa kaa labaada utaar bhii
Sham Rizvi
Ghazal
aa.nsuu ba-zid ki saath hamaare hii jaa.egaa
lekin ghanerii palko.n ne kaajal paka.D liyaa
Mehshar Afridi
Ghazal
mai.n haath kii lakiire.n miTaane pe huu.n ba-zid
go jaantaa huu.n naqsh nahii.n ye saleT ke
Shakeb Jalali
Ghazal
puuchhne vaale ba-zid hai.n ki bataayaa jaa.e
rone vaalo.n ko nahii.n yaad ki kyuu.n rote hai.n
Jahanzeb Sahir
Ghazal
jannat pukaartii hai ki mai.n huu.n tire liye
duniyaa ba-zid hai mujh se ki jannat karo mujhe
Munawwar Rana
Ghazal
ba-zid na ho ki tirii pairvii zaruurii hai
ham apne aap ko behtar sudhaar sakte hai.n
Bilqees Khan
Ghazal
kashkol mohabbat kii talab phir bha.Dak uTThii
dekhaa jo ba-zid us me.n navaazish kaa iraada
Rafique Khayal
Ghazal
ba-zid hai aaj jahaa.n ko tabaah karne par
ye aadmii ki jise ko.ii iKHtiyaar nahii.n
Ustad Azmat Hussain Khan
Ghazal
karne vaalaa hii to kartaa hai karishme varna
har ko.ii dariyaa ba-zid paar nahii.n kar saktaa