SEARCH RESULTS
Showing search results for "barbie-doll"
Sher MATCHES FOR "barbie-doll"
Sher
barbaad-e-vafaa ho kar masjuud-e-jahaa.n dil ho
aadhe me.n bane masjid aadhe me.n sanam-KHaana
Nooh Narvi
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye
Jigar Moradabadi
Sher
bajtaa rahtaa hai musalsal kisii barbat kii tarah
kis kii dastak pe lagaa hai miraa darvaaza-e-dil
Idris Azad
Sher
mujhe shikva nahii.n barbaad rakh barbaad rahne de
magar allaah mere dil me.n apnii yaad rahne de
Bedam Shah Warsi
Sher
is kaa ronaa nahii.n kyuu.n tum ne kiyaa dil barbaad
is kaa Gam hai ki bahut der me.n barbaad kiyaa
Josh Malihabadi
Sher
dil ajab shahr ki jis par bhii khulaa dar is kaa
vo musaafir ise har samt se barbaad kare
Parveen Shakir
Sher
Humaira Rahat
Sher
dil kii aavaara-mizaajii kaa gilaa kyaa kiije
KHaana-barbaad rahaa KHaana-KHaraabo.n me.n rahaa
Sharar Fatehpuri
Sher
mil-milaa ke dono.n ne dil ko kar diyaa barbaad
husn ne kiyaa be-KHud ishq ne kiyaa aazaad
Sahir Dehlavi
Sher
kii dil ne dil-baraan-e-jahaa.n kii bahut talaash
ku.i dil-rubaa milaa hai na dil-KHvaah kyaa kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar
Sher
KHaakistar-e-dil me.n to na thaa ek sharar bhii
bekaar use barbaad kiyaa mauj-e-sabaa ne
Iqbal Sohail
Sher
yuu.n apne aap ko barbaad kartaa hai ko.ii
ai mere dil tuu samajhdaar hai nahii.n hai kyaa
Tarkash Pradeep
Sher
dil-e-aabaad kaa 'faanii' ko.ii mafhuum nahii.n
haa.n magar jis me.n ko.ii hasrat-e-barbaad rahe
Fani Badayuni
Sher
Sohail Azeemabadi
Sher
ustuKHvaa.n-bandii-e-alfaaz kaa aalam tuu dekh
ahl-e-ma.anii kii judaa hove hai taqriir kaa Dol
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
to.D kar ka.abe ko masjid na banaa.o zaahid
KHaana-barbaad kisii dil hii me.n kar ghar paidaa
Meer Kallu Arsh
Sher
in hasiino.n se KHudaa saabiqa Daale na kabhii
sab ko barbaad kiyaa dil me.n rahe jis jis ke
Jaleel Manikpuri
Sher
ishq hai jii kaa ziyaa.n ishq me.n rakkhaa kyaa hai
dil-e-barbaad bataa terii tamannaa kyaa hai