SEARCH RESULTS
Showing search results for "basere"
Sher MATCHES FOR "basere"
Sher
thake-haare parinde jab basere ke liye lauTe.n
saliiqa-ma.nd shaaKHo.n kaa lachak jaanaa zaruurii hai
Waseem Barelvi
Sher
uu.nchii imaarate.n to ba.Dii shaandaar hai.n
lekin yahaa.n to ren-basere the kyaa hu.e
Sheen Kaaf Nizam
Sher
Allama Iqbal
Sher
in hasrato.n se kah do kahii.n aur jaa base.n
itnii jagah kahaa.n hai dil-e-daaG-daar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
aa.iine me.n vo dekh rahe the bahaar-e-husn
aayaa miraa KHayaal to sharmaa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
ho.nTo.n pe kabhii un ke miraa naam hii aa.e
aa.e to sahii bar-sar-e-ilzaam hii aa.e
Ada Jafarey
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
ho jaa.e jahaa.n shaam vahii.n un kaa baseraa
aavaara parindo.n ke Thikaane nahii.n hote
Makhmoor Saeedi
Sher
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
phuul to do din bahaar-e-jaa.n-fazaa dikhlaa ga.e
hasrat un Guncho.n pe hai jo bin khile murjhaa ga.e
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
phir is ke baa'd ye baazaar-e-dil nahii.n lagnaa
KHariid liijiye saahib Gulaam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Sher
dard biktaa nahii.n baazaar-e-jahaa.n me.n varna
jaan tak bech ke letaa mai.n tire dil ke liye
Jaleel Manikpuri
Sher
kabhii mandir kabhii masjid pe hai is kaa baseraa
dharam insaaniyat kaa bas kabuutar jaantaa hai
Amit Ahad
Sher
Abbas Dana
Sher
bhii.D hai bar-sar-e-baazaar kahii.n aur chale.n
aa mire dil mire Gam-KHvaar kahii.n aur chale.n
Aitbar Sajid
Sher
use ziyaada zaruurat thii ghar basaane kii
vo aa ke mere dar-o-baam le gayaa mujh se
Farhat Abbas Shah
Sher
bahaar-e-husn ye do din kii chaa.ndnii hai huzuur
jo baat ab kii baras hai vo paar saal nahii.n