SEARCH RESULTS
Showing search results for "bayaabaan"
Sher MATCHES FOR "bayaabaan"
Sher
aabaad agar na dil ho to barbaad kiijiye
gulshan na ban sake to bayaabaa.n banaa.iye
Jigar Moradabadi
Sher
hai taa-hadd-e-imkaa.n ko.ii bastii na bayaabaa.n
aa.nkho.n me.n ko.ii KHvaab dikhaa.ii nahii.n detaa
Syed Amin Ashraf
Sher
har qadam duuri-e-manzil hai numaayaa.n mujh se
merii raftaar se bhaage hai bayaabaa.n mujh se
Mirza Ghalib
Sher
tanhaa.ii kii ye kaun sii manzil hai rafiiqo
taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuu.n hai
Shahryar
Sher
ko.ii dastak ko.ii aahaT na shanaasaa aavaaz
KHaak u.Dtii hai dar-e-dil pe bayaabaa.n kii tarah
Zaheer Kashmiri
Sher
rah-navard-e-bayaabaan-e-Gam sabr kar sabr kar
kaarvaa.n phir mile.nge baham sabr kar sabr kar
Nasir Kazmi
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
ye kaisii jagah hai ki dil kho rahaa hai
bayaabaa.n hai sahraa hai gulshan hai kyaa hai
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
tere hote to bayaabaa.n bhii the gulshan saare
tuu nahii.n hai to ye duniyaa hai bayaabaa.n jaanaa.n
Adeel Zaidi
Sher
ba.ad farhaad ke phir koh-kanii mai.n ne kii
ba.ad majnuu.n ke kiyaa mai.n ne bayaabaa.n aabaad
Haidar Ali Aatish
Sher
bayaabaa.n duur tak mai.n ne sajaayaa thaa
magar vo shahr ke raste se aayaa thaa
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
Mirza Ghalib
Sher
vahshat-e-dil ne kiyaa hai vo bayaabaa.n paidaa
saik.Do.n kos nahii.n suurat-e-insaa.n paidaa
Haidar Ali Aatish
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
majnuu.n se ye kahnaa ki mire shahar me.n aa jaa.e
vahshat ke liye ek bayaabaan abhii hai
Qamar Abbas Qamar
Sher
hamesha duur ke jalve fareb dete hai.n
hai varna chaa.nd bayaabaa.n kisii ko kyaa ma.aluum
Salam Sandelvi
Sher
ghar aur bayaabaa.n me.n ko.ii farq nahii.n hai
laazim hai magar ishq ke aadaab me.n rahnaa