SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-kafan"
Sher MATCHES FOR "be-kafan"
Sher
ye laash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaa.n kii hai
haq maGfirat kare ajab aazaad mard thaa
Mirza Ghalib
Sher
taa-sub.h merii laash rahii be-kafan to kyaa
baanuu-e-shaam nauha-kunaa.n hii nahii.n hu.ii
Siraj Ajmali
Sher
mai.n gin rahaa thaa shu.aa.o.n ke be kafan laashe
utar rahii thii shab-e-Gam shafaq ke ziine se
Ghulam Mohammad Qasir
Sher
ab itr bhii malo to takalluf kii buu kahaa.n
vo din havaa hu.e jo pasiina gulaab thaa
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
maslahat kaa ye kafan rakhtaa hai be-daaG hame.n
ahl-e-iimaan hai.n ham-ra.ng se Dar lagtaa hai
Naseem Siddiqi
Sher
sune jaate na the tum se mire din raat ke shikve
kafan sarkaa.o merii be-zabaanii dekhte jaa.o
Fani Badayuni
Sher
tamaam umr jo kii ham se be-ruKHii sab ne
kafan me.n ham bhii aziizo.n se mu.nh chhupaa ke chale
Meer Anees
Sher
maane.n jo merii baat muriidaan-e-be-riyaa
de.n shaiKH ko kafan to Dubo kar sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
chaman se ruKHsat-e-‘faanii’ qariib hai shaayad
ki ab ke buu-e-kafan daaman-e-bahaar me.n hai
Fani Badayuni
Sher
bahut dino.n se huu.n aamad kaa apnii chashm-ba-raah
tumhaaraa le gayaa ai yaar intizaar kahaa.n
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
itnii be-rabt kahaanii nahii.n achchhii lagtii
aur vaazeh bhii ishaare nahii.n achchhe lagte
Yasmeen Hameed
Sher
kaise kahuu.n ki mai.n ne kahaa.n kaa safar kiyaa
aakaash be-charaaG zamii.n be-libaas thii
Wazir Agha
Sher
kaaGaz me.n dab ke mar ga.e kii.De kitaab ke
diivaana be-pa.Dhe-likhe mash.huur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
'kaif' kahaa.n tak tum KHud ko be-daaG rakhkhoge
ab to saarii duniyaa ke mu.nh par syaahii hai
Kaif Ahmed Siddiqui
Sher
be-mahaabaa ho agar husn to vo baat kahaa.n
chhup ke jis shaan se hotaa hai numaayaa.n ko.ii
Asghar Gondvi
Sher
rakhkhuu.n kahaa.n pe paa.nv ba.Dhaa.uu.n kidhar qadam
raKHsh-e-KHayaal aaj hai be-iKHtiyaar phir