SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-khauf-e-khizaa.n"
Sher MATCHES FOR "be-khauf-e-khizaa.n"
Sher
kabhii sayyaad kaa khaTkaa hai kabhii KHauf-e-KHizaa.n
bulbul ab jaan hathelii pe liye baiThii hai
Mah Laqa Chanda
Sher
ik KHauf-e-be-panaah hai aa.nkho.n ke aar-paar
taariikiyo.n me.n Duubtaa lamha hai saamne
Sultan Akhtar
Sher
ajnabii KHushbuu kii aahaT se mahak uTThaa badan
qahqaho.n ke lams se KHauf-e-KHizaa.n raushan hu.aa
Zaki Tariq
Sher
be-KHud aisaa kiyaa KHauf-e-shab-e-tanhaa.ii ne
subah se sham.a jalaa dii tire saudaa.ii ne
Manzar Lakhnavi
Sher
rakh liyaa baar-e-amaanat sar pe be-KHaufii ke saath
aur kyaa kartaa miraa diivaana dil tere liye
Ramz Afaqi
Sher
be-samar pe.Do.n ko chuume.nge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye KHizaa.n be-dast-o-paa rah jaa.egii
Amjad Islam Amjad
Sher
yahii lahja thaa ki me.aar-e-suKHan Thahraa thaa
ab isii lahja-e-be-baak se KHauf aataa hai
Iftikhar Arif
Sher
mai.n shaaKH-e-sabz huu.n mujh ko utaar kaaGaz par
mirii tamaam bahaaro.n ko be-KHizaa.n kar de
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
mai.n naa-KHush-o-be-zaar huu.n marmar kii silo.n se
mere liye miTTii kaa haram aur banaa do
Allama Iqbal
Sher
ek dha.Dkaa saa lagaa rahtaa hai KHush hone par
ye bahaar ab ke na tamhiid-e-KHizaa.n ho jaa.e
Riasath Ali Asrar
Sher
bahe.n na aa.nkh se aa.nsuu to naGmagii be-suud
khile.n na phuul to ra.ngiini-e-fuGaa.n kyaa hai
Akhtar Saeed Khan
Sher
chalo KHizaa.o.n me.n zikr-e-bahaar karte hai.n
ki be-qaraar tabii'at ko kuchh qaraar aa.e
Reshma Zaidi
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
Amn Iqbal
Sher
KHaana-ba-dosh ho mujhe hijr-o-visaal ek
aise bhii KHush nahii.n huu.n mai.n vaise bhii KHush nahii.n