SEARCH RESULTS
Showing search results for "be-rahmii-e-dil-daar"
Sher MATCHES FOR "be-rahmii-e-dil-daar"
Sher
Siraj Aurangabadi
Sher
Shakeel Jazib
Sher
sukuut-e-shab me.n dar-e-dil pe ek dastak thii
bikhar ga.ii tirii yaado.n kii kahkashaa.n mujh se
Ameer Qazalbash
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
tujh ko paa kar bhii na kam ho sakii be-taabii-e-dil
itnaa aasaan tire ishq kaa Gam thaa hii nahii.n
Firaq Gorakhpuri
Sher
ham apnii be-qaraari-e-dil se hai.n be-qaraar
aamezish-e-sukuu.n hai is iztiraab me.n
Ahsan Marahravi
Sher
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhii KHabar nahii.n
kis din bahaar aa.ii mai.n diivaana kab hu.aa
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
be-sutuu.n ik navaahii me.n hai shahr-e-dil kii
tesha in.aam kare.n aur ko.ii farhaad rakhe.n
Jaun Eliya
Sher
dard-e-dil se ishq ke be-pardagii hotii nahii.n
ik chamak uThtii hai lekin raushnii hotii nahii.n
Nazm Tabatabai
Sher
ik daaG-e-dil ne mujh ko diye be-shumaar daaG
paidaa hu.e hazaar charaaG is charaaG se
Natiq Lakhnavi
Sher
be-KHudii ne kar diyaa jazbaat-e-dil se be-niyaaz
ab tiraa milnaa na milnaa sab baraabar ho gayaa
Naz Vai
Sher
saamaan-e-dil ko be-sar-o-saamaaniyaa.n milii.n
kuchh aur bhii javaab the mere savaal ke
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
dost-daar-e-dushman hai e'timaad-e-dil ma.aluum
aah be-asar dekhii naala naa-rasaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
be-gintii bose le.nge ruKH-e-dil-pasand ke
aashiq tire pa.Dhe nahii.n ilm-e-hisaab ko
Haidar Ali Aatish
Sher
Afeef Siraj
Sher
jab us be-mehr ko ai jazb-e-dil kuchh josh aataa hai
mah-e-nau kii tarah khole hu.e aaGosh aataa hai
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
ai dil-e-be-jur.at itnii bhii na kar be-jur.atii
juz sabaa us gul kaa is dam paasbaa.n ko.ii nahii.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tuu gosh-e-dil se sune us ko gar but-e-be-mehr
fasaana turfa hai aur maajraa hai zor miraa