SEARCH RESULTS
Showing search results for "bekasii"
Sher MATCHES FOR "bekasii"
Sher
aa.e hai bekasii-e-ishq pe ronaa 'Gaalib'
kis ke ghar jaa.egaa sailaab-e-balaa mere ba.ad
Mirza Ghalib
Sher
idhar se aaj vo guzre to mu.nh phere hu.e guzre
ab un se bhii hamaarii be-kasii dekhii nahii.n jaatii
Asar Lakhnavi
Sher
zamii.n ro.ii hamaare haal par aur aasmaa.n royaa
hamaarii bekasii ko dekh kar saaraa jahaa.n royaa
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
aashiq kii be-kasii kaa to aalam na puuchhiye
majnuu.n pe kyaa guzar ga.ii sahraa gavaah hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
Khan Arzoo Sirajuddin Ali
Sher
aa.nkhe.n bhii haa.e naza.a me.n apnii badal ga.ii.n
sach hai ki bekasii me.n ko.ii aashnaa nahii.n
Khwaja Meer Dard
Sher
kaun kis kaa Gam khaa.e kaun kis ko bahlaa.e
terii be-kasii tanhaa mary bebasii tanhaa
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
mufliso.n kii bastii ko bekasii ne gheraa hai
har taraf udaasii hai zulmato.n kaa Deraa hai
Shahid Ghazi
Sher
ai charKH be-kasii pe hamaarii nazar na kar
jo kuchh ki tujh se ho sake tuu dar-guzar na kar
Joshish Azimabadi
Sher
George Puech Shor
Sher
KHuub jaantaa hai ye ik faqiir haatho.n me.n
kab hai be-kasii rakhnaa kab hai mo'jiza rakhnaa
Safar Naqvi
Sher
be-dimaaG-e-KHajlat huu.n rashk-e-imtihaa.n taa-kai
ek bekasii tujh ko aalam-aashnaa paayaa
Mirza Ghalib
Sher
aah us kii be-kasii tuu na jis ke saath ho
haa.e us kii bandagii jis kaa tuu KHudaa nahii.n
Tajwar Najibabadi
Sher
be-kasii ke dard ne lau dii jal uTThaa ik charaaG
rafta rafta us se phir saaraa jahaa.n raushan hu.aa