SEARCH RESULTS
Showing search results for "bukhaaraa"
Sher MATCHES FOR "bukhaaraa"
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
apne jalne me.n kisii ko nahii.n karte hai.n shariik
raat ho jaa.e to ham sham.a bujhaa dete hai.n
Saba Akbarabadi
Sher
mai.n ne chaahaa hai tujhe aam se insaa.n kii tarah
tuu miraa KHvaab nahii.n hai jo bikhar jaa.egaa
Waseem Barelvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
mirii apnii aur us kii aarzuu me.n farq ye thaa
mujhe bas vo use saaraa zamaana chaahiye thaa
Bushra Ejaz
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
ye phuul mujhe ko.ii viraasat me.n mile hai.n
tum ne miraa kaa.nTo.n bharaa bistar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
tire KHayaal ke haatho.n kuchh aisaa bikhraa huu.n
ki jaise bachcha kitaabe.n idhar udhar kar de
Waseem Barelvi
Sher
shaam hote hii charaaGo.n ko bujhaa detaa huu.n
dil hii kaafii hai tirii yaad me.n jalne ke liye
Unknown
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e
Obaidullah Aleem
Sher
safar me.n ko.ii kisii ke liye Thahartaa nahii.n
na mu.D ke dekhaa kabhii saahilo.n ko dariyaa ne