SEARCH RESULTS
Showing search results for "charaaG-e-dair"
Sher MATCHES FOR "charaaG-e-dair"
Sher
Waliullah Muhib
Sher
niklaa na daaG-e-dil se hamaaraa to ko.ii kaam
na vo charaaG-e-dair na sham-e-haram hu.aa
Munawar Khan Ghafil
Sher
jahaa.n me.n thii bas ik afvaah tere jalvo.n kii
charaaG-e-dair-o-haram jhilmilaa.e hai.n kyaa kyaa
Firaq Gorakhpuri
Sher
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dekhaa to ek sho.ale se ai shaiKH-o-barhaman
raushan hai.n sham-e-dair o charaaG-e-haram baham
Baqaullah 'Baqa'
Sher
thii agar mai se suraahii tirii KHaalii saaqii
to charaaG-e-dar-e-mai-KHaana jalaayaa kyuu.n thaa
Unknown
Sher
chand muddat ko firaaq-e-sanam-o-dair to hai
aa.o ka.aba kabhii dekh aa.e.n na ik sair to hai
Insha Allah Khan Insha
Sher
charaaG-e-husn-e-yuusuf jab ho raushan
rahe phir kis tarah zindaa.n a.ndheraa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
guzar rahaa hai idhar se to muskuraataa jaa
charaaG-e-majlis-e-ruuhaaniyaa.n jalaataa jaa
Josh Malihabadi
Sher
hame.n KHabar hai ki ham hai.n charaaG-e-aaKHir-e-shab
hamaare baa'd a.ndheraa nahii.n ujaalaa hai
Zaheer Kashmiri
Sher
ek ne.amat tire mahjuur ke haath aa.ii hai
iid kaa chaa.nd charaaG-e-shab-e-tanhaa.ii hai
Manzar Lakhnavi
Sher
chalte rahe ham tund havaa.o.n ke muqaabil
'aazaad' charaaG-e-tah-e-daamaa.n na rahe ham
Jagan Nath Azad
Sher
ghar hamesha tire aa.iine kaa aabaad rahe
jis me.n jaltaa hai charaag-e-ruKH-e-raushan teraa
Jaleel Manikpuri
Sher
jab tak tumhaaraa husn numaayaa.n na ho sakaa
raushan charaaG-e-aalam-e-imkaan na ho sakaa
Zahida Kamal
Sher
tuu ik charaaG-e-jahaan-e-digar hai kyaa jaane
ham is zamiin pe kis tarah shab guzaarte hai.n
Irfan Siddiqi
Sher
ai falak tujh ko qasam hai mirii is ko na bujhaa
ki Gariibo.n ko charaaG-e-shab-e-taariik hai dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
charaaG-e-shaam-e-Gariibii thaa me.n zamaane me.n
kisii ne aa ke na ThanDaa kiyaa jalaa ke mujhe