SEARCH RESULTS
Showing search results for "chhuttii"
Sher MATCHES FOR "chhuttii"
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ai 'zauq' dekh duKHtar-e-raz ko na mu.nh lagaa
chhuTtii nahii.n hai mu.nh se ye kaafar lagii hu.ii
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
'Gaalib' chhuTii sharaab par ab bhii kabhii kabhii
piitaa huu.n roz-e-abr o shab-e-maahtaab me.n
Mirza Ghalib
Sher
daftar se mil nahii.n rahii chhuTTii vagarna mai.n
baarish kii ek buu.nd na be-kaar jaane duu.n
Azhar Faragh
Sher
dillii chhuTii thii pahle ab lucknow bhii chho.De.n
do shahar the ye apne dono.n tabaah nikle
Mirza Hadi Ruswa
Sher
logo.n ne aaraam kiyaa aur chhuTTii puurii kii
yakum may ko bhii mazduuro.n ne mazduurii kii
Afzal Khan
Sher
Shuja Khaavar
Sher
dil kii lagii se jaan bhii chhuuTii to yuu.n hu.aa
vo shaKHs zindagii ke taqaazo.n se mar gayaa
Ahtamam Sadiq
Sher
kyaa musiibat hai ki jis din se chhuTii mai-noshii
dil jalaane ke liye roz ghaTaa aatii hai
Jaleel Manikpuri
Sher
abhii chhuTii nahii.n jannat kii dhuul paa.nv se
hanuuz farsh-e-zamii.n par nayaa nayaa huu.n mai.n
Iftikhar Mughal
Sher
dhuup chhuutii hai badan ko jab 'shamiim'
barf ke suuraj pighal jaate hai.n kyuu.n
Farooq Shamim
Sher
ab to KHushii kaa Gam hai na Gam kii KHushii mujhe
be-his banaa chukii hai bahut zindagii mujhe
Shakeel Badayuni
Sher
Saghar Azmi
Sher
tum se chhuT kar bhii tumhe.n bhuulnaa aasaan na thaa
tum ko hii yaad kiyaa tum ko bhulaane ke liye