SEARCH RESULTS
Showing search results for "compare"
Sher MATCHES FOR "compare"
Sher
kamar-e-yaar hai baariikii se Gaa.eb har chand
magar itnaa to kahuu.ngaa ki vo ma.aduum nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
kamar-e-yaar ke mazkuur ko jaane de miyaa.n
tuu qadam is me.n na rakh raah ye baariik hai dil
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vahm hii vahm me.n apnii hu.ii auqaat basar
kamar-e-yaar ko bhuule to dahan yaad aayaa
Amanat Lakhnavi
Sher
ma.aduum hu.e jaate hai.n ham fikr ke maare
mazmuu.n kamar-e-yaar kaa paidaa nahii.n hotaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
yaaraan-e-suKHan-go kii hai vo company apnii
nit jis kii salaamii hai faraasiis kii Topii