SEARCH RESULTS
Showing search results for "dar-guzar"
Sher MATCHES FOR "dar-guzar"
Sher
ai charKH-e-piir zor-e-javaanii se dar-guzar
ab paas chaahiye tujhe pusht-e-KHamiida kaa
Naseem Dehlvi
Sher
ai charKH be-kasii pe hamaarii nazar na kar
jo kuchh ki tujh se ho sake tuu dar-guzar na kar
Joshish Azimabadi
Sher
'saudaa' tuu is Gazal ko Gazal-dar-Gazal hii kah
honaa hai tujh ko 'miir' se ustaad kii taraf
Mohammad Rafi Sauda
Sher
vo tabassum hai ki 'Gaalib' kii tarah-daar Gazal
der tak us kii balaaGat ko pa.Dhaa karte hai.n
Aale Ahmad Suroor
Sher
KHud apne shab-o-roz guzar jaa.e.nge lekin
shaamil hai mire Gam me.n tirii dar-badarii bhii
Mustafa Zaidi
Sher
har musiibat se guzar jaataa huu.n ha.nstaa-kheltaa
un ke dar se pesh aatii hii nahii.n mushkil mujhe
Sirajuddin Siraj
Sher
jaanaa pa.Daa raqiib ke dar par hazaar baar
ai kaash jaantaa na tire rah-guzar ko mai.n
Mirza Ghalib
Sher
ye bhii hu.aa ki dar na tiraa kar sake talaash
ye bhii hu.aa ki ham tire dar se guzar ga.e
Nisar Itavi
Sher
bujhe hu.e dar-o-diivaar dekhne vaalo
use bhii dekho jo ik umr yaa.n guzaar gayaa
Mushfiq Khwaja
Sher
us gul kaa pataa gar nahii.n dete ho to yaaro
itnaa to bataa do dar-e-gulzaar kidhar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
zindagii ik imtihaa.n hai imtihaa.n kaa Dar nahii.n
ham a.ndhero.n se guzar kar raushnii kahlaa.e.nge
Sardar Anjum
Sher
ye daur hai jo tumhaaraa rahegaa ye bhii nahii.n
ko.ii zamaana thaa meraa guzar gayaa vo bhii