SEARCH RESULTS
Showing search results for "dard-e-jigar"
Sher MATCHES FOR "dard-e-jigar"
Sher
faanii davaa-e-dard-e-jigar zahr to nahii.n
kyuu.n haath kaa.nptaa hai mire chaarasaaz kaa
Fani Badayuni
Sher
kii tark-e-mohabbat to liyaa dard-e-jigar mol
parhez se dil aur bhii biimaar pa.Daa hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
sab apnaa haal kahte rahe chaarasaaz se
mai.n thaa ki mahv-e-lazzat-e-dard-e-jigar rahaa
Jaleel Manikpuri
Sher
dard-e-dil ke vaaste paidaa kiyaa insaan ko
varna taa.at ke liye kuchh kam na the karr-o-bayaa.n
Khwaja Meer Dard
Sher
'dard' ke milne se ai yaar buraa kyuu.n maanaa
us ko kuchh aur sivaa diid ke manzuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
sair-e-bahaar-e-baaG se ham ko mu.aaf kiijiye
us ke KHayaal-e-zulf se 'dard' kise faraaG hai
Khwaja Meer Dard
Sher
mere sukuun-e-qalb ko le kar chale ga.e
aur iztiraab-e-dard-e-jigar de ga.e mujhe
Aleem Akhtar muzaffarnagri
Sher
ek dil hai aur tuufaan-e-havaadis ai 'jigar'
ek shiisha hai ki har patthar se Takraataa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
tuul-e-Gam-e-hayaat se ghabraa na ai 'jigar'
aisii bhii ko.ii shaam hai jis kii sahar na ho
Jigar Moradabadi
Sher
abhii kamsin hai.n zide.n bhii hai.n niraalii un kii
is pe machle hai.n ki ham dard-e-jigar dekhe.nge
Ameer Minai
Sher
ahbaab mujh se qat-e-ta.alluq kare.n 'jigar'
ab aaftaab-e-ziist lab-e-baam aa gayaa