SEARCH RESULTS
Showing search results for "dariicha"
Sher MATCHES FOR "dariicha"
Sher
band kar de ko.ii maazii kaa dariicha mujh par
ab is aa.iine me.n suurat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
Ibn۔e۔Insha
Sher
shaayad aa jaa.e kisii vaqt lab-e-baam vo chaa.nd
shaam se subah talak band dariicha na kiyaa
Masroor Jalandhari
Sher
lambii sa.Dak pe duur talak ko.ii bhii na thaa
palke.n jhapak rahaa thaa dariicha khulaa hu.aa
Mohammad Alvi
Sher
ishq ik aisii havelii hai ki jis se baahar
ko.ii darvaaza khule aur na dariicha nikle
Akram Naqqash
Sher
aisaa na ho ki taaza havaa ajnabii lage
kamre kaa ek-aadh dariicha khulaa bhii rakh
Marghoob Ali
Sher
jhaa.nktaa bhii nahii.n suuraj mire ghar ke andar
band bhii ko.ii dariicha nahii.n rahne detaa
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
balaa kaa habs thaa par nii.nd TuuTtii hii na thii
na ko.ii dar na dariicha fasiil-e-KHvaab me.n thaa
Vikas Sharma Raaz
Sher
mai.n to saa.il thaa sadaa de ke guzarnaa thaa mujhe
tuu ne kyuu.n shaam talak band dariicha na kiyaa
Zulfiqar Rizvi
Sher
KHvaabo.n kii mai.n ne ek imaarat banaa.ii aur
yaado.n kaa us me.n ek dariicha banaa liyaa
Khurshid Rabbani
Sher
Humaira Rahman
Sher
dhu.e.n ne bhii.nch dii chiiKHe.n tabhii pata ye chalaa
ki ghar me.n ek dariicha bahut zaruurii hai
Amaan Ali Khan
Sher
Bashir Badr
Sher
ye ishq nahii.n aasaa.n itnaa hii samajh liije
ik aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
ishrat-e-qatra hai dariyaa me.n fanaa ho jaanaa
dard kaa had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
shadiid pyaas thii phir bhii chhu.aa na paanii ko
mai.n dekhtaa rahaa dariyaa tirii ravaanii ko
Shahryar
Sher
kah rahaa hai shor-e-dariyaa se samundar kaa sukuut
jis kaa jitnaa zarf hai utnaa hii vo KHaamosh hai