SEARCH RESULTS
Showing search results for "dariicha"
Ghazal MATCHES FOR "dariicha"
Ghazal
shikva saa ik dariicha ho nashsha saa ik sukuut
ho shaam ik sharaab sii aur la.Dkha.Daa.uu.n mai.n
Jaun Eliya
Ghazal
dariicha baaz hai yaado.n kaa aur mai.n
havaa suntaa huu.n mai.n pe.Do.n kii zabaa.n se
Jaun Eliya
Ghazal
Jaun Eliya
Ghazal
mire ghar kaa dariicha puuchhtaa hai
mai.n saaraa din kahaa.n phirtaa rahaa huu.n
Mohsin Naqvi
Ghazal
Tahzeeb Hafi
Ghazal
abhii diivaar uThaa.ii bhii na ho dil kii taraf
lekin is me.n ko.ii dar ko.ii dariicha lag jaa.e
Zafar Iqbal
Ghazal
zehn kii khi.Dkii khulii dil kaa dariicha vaa hu.aa
tab jahaa.n ke dard se rishta miraa gahraa hu.aa
Jahangeer nayab
Ghazal
band kar de ko.ii maazii kaa dariicha mujh par
ab is aa.iine me.n suurat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Ghazal
nikle agar to chaa.nd dariiche me.n ruk bhii jaa.e
is shahr-e-be-charaaG me.n kis kaa nasiib thaa
Parveen Shakir
Ghazal
vo chehra ek tasavvur bhii hai haqiiqat bhii
dariicha band bhii hotaa hai vaa bhii hotaa hai
Anwar Shuoor
Ghazal
mai.n raat kii ii.nTe.n to bahut jo.D rahaa huu.n
par mujh se tere din kaa dariicha nahii.n ban.naa
Aamir Suhail
Ghazal
jo vaa kiyaa bhii dariicha to aaj mausam ne
pahaa.D Dhaa.np diyaa abr kii ridaa de kar
Adeem Hashmi
Ghazal
havaa-e-taaza me.n phir jism o jaa.n basaane kaa
dariicha khole.n ki hai vaqt us ke aane kaa