SEARCH RESULTS
Showing search results for "dastaar"
Sher MATCHES FOR "dastaar"
Sher
jhuk kar salaam karne me.n kyaa harj hai magar
sar itnaa mat jhukaa.o ki dastaar gir pa.De
Iqbal Azeem
Sher
Zubair Ali Tabish
Sher
phe.nkii na 'munavaar' ne buzurgo.n kii nishaanii
dastaar puraanii hai magar baa.ndhe hu.e hai
Munawwar Rana
Sher
taaziim ba.Dii shai hai magar soch rahaa huu.n
dastuur nibhaa.uu.ngaa to dastaar giregii
Unknown
Sher
kuchh kahnaa chaahte the ki KHaamosh ho ga.e
dastaar yaad aa ga.ii sar yaad aa gayaa
Ajmal Siraj
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
ab ke mausam me.n ye meyaar-e-junuu.n Thahraa hai
sar salaamat rahe.n dastaar na rahne paa.e
Mohsin Bhopali
Sher
kaj-kulaahii pe na maGruur hu.aa kar itnaa
sar utar aate hai.n shaaho.n ke bhii dastaar ke saath
Saleem Siddiqui
Sher
apnii naamuus kii aatii hai hifaazat jin ko
jaan de dete hai.n dastaar nahii.n dete hai.n
Abdushshukoor Aasi
Sher
kyaa karuu.n KHil.at o dastaar kii KHvaahish ki mujhe
ziist karne kaa saliiqa bhii ziyaa.n se aayaa
Abbas Rizvi
Sher
aaj masjid me.n nazar aataa to hai mai-kash magar
matlab us kaa bechnaa hai shaiKH kii dastaar kaa
Maatam Fazl Mohammad
Sher
miraa faKHr-e-hayaatii aaj bhii kirdaar hai meraa
isii nag se muzayyan turra-e-dastaar hai meraa
Raakesh ulfat
Sher
martaba ma.ashuuq kaa aashiq se baalaa-dast hai
KHaar kii jaa zer-e-paa gul kaa makaa.n dastaar par
Munawar Khan Ghafil
Sher
hairaa.n thaa ki dil meraa kahaa.n jaa ke chhupaa hai
jugnuu kii tarah yaar kii dastaar me.n chamkaa