SEARCH RESULTS
Showing search results for "dastuur"
Sher MATCHES FOR "dastuur"
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
achchhaa tumhaare shahar kaa dastuur ho gayaa
jis ko gale lagaa liyaa vo duur ho gayaa
Bashir Badr
Sher
ye hamii.n hai.n ki tiraa dard chhupaa kar dil me.n
kaam duniyaa ke ba-dastuur kiye jaate hai.n
Unknown
Sher
Andaleeb Shadani
Sher
maanuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil
phir tuu ne yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa
Hasrat Mohani
Sher
dastuur hai duniyaa kaa magar ye to bataa.o
ham kis se mile.n kis se kahe.n iid mubaarak
Unknown
Sher
Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi
Sher
be-bulaa.e hu.e jaanaa mujhe manzuur nahii.n
un kaa vo taur nahii.n meraa ye dastuur nahii.n
Mirza Raza Barq
Sher
taaziim ba.Dii shai hai magar soch rahaa huu.n
dastuur nibhaa.uu.ngaa to dastaar giregii
Unknown
Sher
mai-KHaana-e-europe ke dastuur niraale hai.n
laate hai.n suruur avval dete hai.n sharaab aaKHir
Allama Iqbal
Sher
is shahar kaa dastuur hai rishto.n kaa bhulaanaa
tajdiid-e-maraasim ke liye haath na baa.ndhuu.n
Muzaffar Eraj
Sher
qatl-e-aashiq kisii ma.ashuuq se kuchh duur na thaa
par tire ahd se aage to ye dastuur na thaa
Khwaja Meer Dard
Sher
haadse shahar kaa dastuur bane jaate hai.n
ab yahaa.n saaya-e-diivaar na Dhuu.nDhe.n ko.ii
Shakeel Azmi
Sher
jab KHaamushii hii bazm kaa dastuur ho ga.ii
mai.n aadmii se naqsh-ba-diivaar ban gayaa
Zaheer Kashmiri
Sher
har shaKHs mil rahaa hai zaraa faasle ke saath
ye kyaa tumhaare shahr ke dastuur ho ga.e