SEARCH RESULTS
Showing search results for "diin-duniyaa"
Sher MATCHES FOR "diin-duniyaa"
Sher
na vaa.iz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are mu.nh saaqi-e-kausar ko bhii aaKHir dikhaanaa hai
Ameer Minai
Sher
guzartii hai maze se vaa.izo.n kii zindagii ab to
sahaaraa ho gayaa hai diin duniyaa-daar logo.n kaa
Natiq Gulavthi
Sher
maatam me.n faut-e-umr ke rotaa huu.n raat din
duniyaa me.n mujh saa kam hai ko.ii sogvaar shaKHs
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Abdullateef Shauq
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
dil diyaa jis ne kisii ko vo hu.aa saahib-e-dil
haath aa jaatii hai kho dene se daulat dil kii
Aasi Ghazipuri
Sher
Jaleel Manikpuri
Sher
kaash ham naakaam bhii kaam aa.e.n tere ishq me.n
mutlaqan naakaara hai.n duniyaa-o-dii.n ke kaam se
Waliullah Muhib
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
duniyaa ko diin diin ko duniyaa kare.nge ham
tere bane.nge ham tujhe apnaa kare.nge ham
Manzar Lakhnavi
Sher
duniyaa pe aisaa vaqt pa.Degaa ki ek din
insaan kii talaash me.n insaan jaa.egaa
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ye chaar din ke tamaashe hai.n aah duniyaa ke
rahaa jahaa.n me.n sikandar na aur na jam baaqii
Bhartendu Harishchandra
Sher
duniyaa kii fikr diin kii baate.n KHudaa kii yaad
sab kuchh bhulaa diyaa tire do din ke pyaar ne
Akhtar Shirani
Sher
duniyaa me.n ham rahe to ka.ii din pa is tarah
dushman ke ghar me.n jaise ko.ii mehmaa.n rahe
Qayem Chaandpuri
Sher
ek din aage hii duniyaa se uThaanaa ham ko
shab-e-furqat tuu ilaahii na dikhaanaa ham ko