SEARCH RESULTS
Showing search results for "dilaase"
Sher MATCHES FOR "dilaase"
Sher
log dete rahe kyaa kyaa na dilaase mujh ko
zaKHm gahraa hii sahii zaKHm hai bhar jaa.egaa
Shakeb Jalali
Sher
detaa hai roz roz dilaase na.e na.e
kis tarah e'tibaar ho 'haafiz' ke faal par
Maatam Fazl Mohammad
Sher
kitnii dilkash ho tum kitnaa dil-juu huu.n mai.n
kyaa sitam hai ki ham log mar jaa.e.nge
Jaun Eliya
Sher
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham.e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
hoshiyaarii dil-e-naadaan bahut kartaa hai
ra.nj kam sahtaa hai elaan bahut kartaa hai
Irfan Siddiqi
Sher
chal saath ki hasrat dil-e-marhuum se nikle
aashiq kaa janaaza hai zaraa dhuum se nikle
Fidvi Lahori
Sher
haath rakh kar jo vo puuchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhii aaraam to kah duu.n mujhe aaraam nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
itnaa bhii naa-umiid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahii.n ki shaam-e-alam kii sahar na ho
Naresh Kumar Shad
Sher
ko.ii ishaara dilaasaa na ko.ii va.ada magar
jab aa.ii shaam tiraa intizaar karne lage
Waseem Barelvi
Sher
naam ho.nTo.n pe tiraa aa.e to raahat sii mile
tuu tasallii hai dilaasa hai du.aa hai kyaa hai
Naqsh Layalpuri
Sher
dil-e-muztar se puuchh ai raunaq-e-bazm
mai.n KHud aayaa nahii.n laayaa gayaa huu.n
Shad Azimabadi
Sher
baal apne ba.Dhaate hai.n kis vaaste diivaane
kyaa shahr-e-mohabbat me.n hajjaam nahii.n hotaa