SEARCH RESULTS
Showing search results for "dogaanaa"
Sher MATCHES FOR "dogaanaa"
Sher
ek hii naddii ke hai.n ye do kinaare dosto
dostaana zindagii se maut se yaarii rakho
Rahat Indori
Sher
buz-dilii hogii charaaGo.n ko dikhaanaa aa.nkhe.n
abr chhaT jaa.e to suuraj se milaanaa aa.nkhe.n
Shakeel Badayuni
Sher
gunaaho.n se hame.n raGbat na thii magar yaa rab
tirii nigaah-e-karam ko bhii mu.nh dikhaanaa thaa
Naresh Kumar Shad
Sher
tumhe.n jafaa se na yuu.n baaz aanaa chaahiye thaa
abhii kuchh aur miraa dil dukhaanaa chaahiye thaa
Pirzada Qasim
Sher
Krishn Adeeb
Sher
ishq hai ishq to ik roz tamaashaa hogaa
aap jis mu.nh ko chhupaate hai.n dikhaanaa hogaa
Zaheer Dehlvi
Sher
tasviir ke do ruKH hai.n jaa.n aur Gam-e-jaanaa.n
ik naqsh chhupaanaa hai ik naqsh dikhaanaa hai
Jigar Moradabadi
Sher
na vaa.iz hajv kar ek din duniyaa se jaanaa hai
are mu.nh saaqi-e-kausar ko bhii aaKHir dikhaanaa hai
Ameer Minai
Sher
mujh ko nahii.n qubuul do-aalam kii vus.ate.n
qismat me.n kuu-e-yaar kii do-gaz zamii.n rahe
Jigar Moradabadi
Sher
Aagha Akbarabadi
Sher
vo jis ko duur se dekhaa thaa ajnabii kii tarah
kuchh is adaa se milaa hai ki dostaana lage
Zubair Rizvi
Sher
Yagana Changezi
Sher
vo KHudaa hai to bhalaa us se shikaayat kaisii?
muqtadir hai vo sitam mujh pe jo Dhaanaa chaahe
Fariha Naqvi
Sher
apne dukh me.n ronaa-dhonaa aap hii aayaa
Gair ke dukh me.n KHud ko dukhaanaa ishq me.n siikhaa
Hilal Fareed
Sher
mai.n apne aap ko bhii dekhne se qaasir huu.n
ye shaam-e-hijr mujhe kyaa dikhaanaa chaahtii hai