SEARCH RESULTS
Showing search results for "dubo"
Sher MATCHES FOR "dubo"
Sher
bachaa liyaa mujhe tuufaa.n kii mauj ne varna
kinaare vaale safiina miraa Dubo dete
Majrooh Sultanpuri
Sher
Divakar Rahi
Sher
Dubo dii thii jahaa.n tuufaa.n ne kashtii
vahaa.n sab the KHudaa kyaa naa-KHudaa kyaa
Asrarul Haq Majaz
Sher
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jo Duubnaa hai to itne sukuun se Duubo
ki aas-paas kii lahro.n ko bhii pataa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
Seemab Akbarabadi
Sher
kise KHabar ki safiine Dubo chukii kitne
faqiih o suufii o shaa.ir kii naa-KHush-andeshii
Allama Iqbal
Sher
rone pe agar aa.uu.n to dariyaa ko Dubo duu.n
qatra ko.ii samjhe na mire diida-e-nam ko
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
Dubo rahaa hai mujhe Duubne kaa KHauf ab tak
bha.nvar ke biich huu.n dariyaa ke paar hote hu.e
Afzal Khan
Sher
sat.h-e-dariyaa kaa ye saffaak sukuu.n hai dhokaa
ye tirii naav kisii vaqt Dubo saktaa hai
Tahseen Firaqi
Sher
havaa.e.n rok na paa.ii.n bha.nvar Dubo na sake
vo ek naav jo azm-e-safar ke baa'd chalii
Shaukat Pardesi
Sher
pahle hii apnii kaun thii vaa.n qadr-o-manzilat
par shab kii minnato.n ne Dubo dii rahii sahii
Qayem Chaandpuri
Sher
Dubo ke saare safiine qariib saahil ke
hai un ko phir bhii ye daavaa ki naa-KHudaa ham hai.n
Unknown
Sher
maane.n jo merii baat muriidaan-e-be-riyaa
de.n shaiKH ko kafan to Dubo kar sharaab me.n
Mirza Mayal Dehlvi
Sher
kaaGaz kii naav huu.n jise tinkaa Dubo sake
yuu.n bhii nahii.n ki aap se ye bhii na ho sake
Ahsan Yusuf Zai
Sher
merii kashtii ko Dubo kar chain se baiThe na tuu
ai mire dariyaa! hamesha tujh me.n tuGyaanii rahe
Ghulam Murtaza Rahi
Sher
sahaaraa na detii agar mauj-e-tuufaa.n
Dubo hii diyaa thaa hame.n naa-KHudaa ne