SEARCH RESULTS
Showing search results for "dushman-e-salaamat"
Sher MATCHES FOR "dushman-e-salaamat"
Sher
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
allaah allaah ye fazaa-e-dushman-e-mehr-o-vafaa
aashnaa ke naam se hotaa hai barham aashnaa
Anwar Sabri
Sher
ab kaun phire kuu-e-but-e-dushman-e-dii.n se
allaah ke ghar kyuu.n na chale jaa.e.n yahii.n se
Muztar Khairabadi
Sher
ab jafaa se bhii hai.n mahruum ham allaah allaah
is qadar dushman-e-arbaab-e-vafaa ho jaanaa
Mirza Ghalib
Sher
dushman-e-dil hii nahii.n dushman-e-jaa.n hotaa hai
uf vo ehsaas jo piirii me.n javaa.n hotaa hai
Basheer Durrani
Sher
dushman-e-jaa.n hai magar jaan se pyaaraa bhii hai
aisaa is shahr me.n ik shaKHs hamaaraa bhii hai
Zia Zameer
Sher
vaqt jab aaya to sab da.ave zabaanii nikle
yaar samjhe the jinhe.n dushman-e-jaanii nikle
Maroof Raebarelvi
Sher
KHudaa gavaah ki dono.n hai.n dushman-e-parvaaz
Gam-e-qafas ho ki raahat ho aashiyaane kii
Gopal Mittal
Sher
KHud ko mumtaaz banaane kii dilii-KHvaahish me.n
dushman-e-jaa.n se milii merii anaa saazish me.n
Rahi Fidai
Sher
jaa bhi.Daataa hai hamesha mujhe KHuu.n-KHvaaro.n se
dil baGal-biich miraa dushman-e-jaa.n hai goyaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
zamaana dostii par in hasiino.n kii na itraa.e
ye aalam-dost aksar dushman-e-aalam bhii hote hai.n
Dagh Dehlvi
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii dost samajhtaa huu.n use
bad-du.aa jis kii mujhe ban ke du.aa lagtii hai
Murtaza Barlas
Sher
dushman-e-jaa.n hii sahii saath to ik umr kaa hai
dil se ab dard kii ruKHsat nahii.n dekhii jaatii
Akhtar Saeed Khan
Sher
ye na dekho ki mire zaKHm bahut kaarii hai.n
ye bataa.o ki miraa dushman-e-jaa.n kaisaa hai
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
tujh se ai zindagii ghabraa hii chale the ham to
par tashaffii hai ki ik dushman-e-jaa.n rakhte hai.n
Qalaq Merathi
Sher
us dushman-e-vafaa ko du.aa de rahaa huu.n mai.n
meraa na ho sakaa vo kisii kaa to ho gayaa
Hafeez Banarasi
Sher
kahne ko Gam-e-hijr ba.Daa dushman-e-jaa.n hai
par dost bhii is dost se behtar nahii.n miltaa