SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtimaam"
Sher MATCHES FOR "ehtimaam"
Sher
bahut se log the mehmaan mere ghar lekin
vo jaantaa thaa ki hai ehtimaam kis ke liye
Parveen Shakir
Sher
ab apnaa intizaar rahegaa tamaam-umr
ik shaKHs thaa jo mujh se judaa kar gayaa mujhe
Ahtamam Sadiq
Sher
jhunjhlaa.e hai.n lajaa.e hai.n phir muskuraa.e hai.n
kis ehtimaam se unhe.n ham yaad aa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Sher
ab mujh ko ehtimaam se kiije supurd-e-KHaak
uktaa chukaa huu.n jism kaa malba uThaa ke mai.n
Dilawar Ali Aazar
Sher
ajiib baat hai din bhar ke ehtimaam ke ba.ad
charaaG ek bhii raushan hu.aa na shaam ke ba.ad
Shaukat Wasti
Sher
so apne shahr ke raunaq kii KHair maa.ngnaa tum
mai.n apne gaa.nv se ik shaam le ke aa rahaa huu.n
Ahtamam Sadiq
Sher
ik intizaar me.n qaa.em hai is charaaG kii lau
ik ehtimaam me.n kamre kaa dar khulaa hu.aa hai
Abdurrahman Wasif
Sher
nazar se hadd-e-nazar tak tamaam taariikii
ye ehtimaam hai ik va.ada-e-sahar ke liye
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
junuu.n ko hosh kahaa.n ehtimaam-e-Gaarat kaa
fasaad jo bhii jahaa.n me.n hu.aa KHirad se hu.aa
Iqbal Azeem
Sher
safar pe nikle hai.n ham puure ehtimaam ke saath
ham apne ghar se kafan saath le ke aa.e hai.n
Iqbal Azeem
Sher
Ahtamam Sadiq
Sher
ye ehtimaam-e-charaaGaa.n bajaa sahii lekin
sahar to ho nahii.n saktii diye jalaane se
Bashar Nawaz
Sher
ai ashk na kar zulm zaraa der Thahar jaa
ik shaKHs abhii merii nigaaho.n me.n basaa hai
Ahtamam Sadiq
Sher
mujh ko thii mahfilo.n kii bahut aarzuu magar
tanhaa.iyo.n ke KHauf se tanhaa rahaa huu.n mai.n