SEARCH RESULTS
Showing search results for "ehtimaam"
Ghazal MATCHES FOR "ehtimaam"
Ghazal
na puuchh-gachh thii kisii kii vahaa.n na aav-bhagat
tumhaarii bazm me.n kal ehtimaam kis kaa thaa
Dagh Dehlvi
Ghazal
ye ehtimaam aur kisii ke liye nahii.n
ta.ane tumhaare naam ke ham par hii aa.e.nge
Ali Zaryoun
Ghazal
kahaa.n bisaat-e-jahaa.n aur mai.n kamsin-o-naadaa.n
ye merii jiit kaa sab ehtimaam tum se hai
Wasi Shah
Ghazal
sadiyo.n tak ehtimaam-e-shab-e-hijr me.n rahe
sadiyo.n se intizaar-e-sahar kar rahe hai.n ham
Rais Amrohvi
Ghazal
mah o sitaara o KHurshiid o charKH haf-iqliim
ye ehtimaam mire dast-e-naa-rasaa ke liye
Shaz Tamkanat
Ghazal
ye sochtaa huu.n charaaGo.n kaa ehtimaam karuu.n
havaa ko bhuuk lagii hai kuchh intizaam karuu.n
Mehshar Afridi
Ghazal
tirii anjuman me.n zaalim ajab ehtimaam dekhaa
kahii.n zindagii kii baarish kahii.n qatl-e-aam dekhaa
Shakeel Badayuni
Ghazal
jhunjhlaa.e hai.n lajaa.e hai.n phir muskuraa.e hai.n
kis ehtimaam se unhe.n ham yaad aa.e hai.n
Khumar Barabankavi
Ghazal
chaman chaman hai mohabbat jahaa.n jahaa.n se jamaal
ye ehtimaam hai ik dil kii zindagii ke liye
Nushur Wahidi
Ghazal
tum aa ga.e ho to kyuu.n intizaar-e-shaam kare.n
kaho to kyuu.n na abhii se kuchh ehtimaam kare.n
Nasir Kazmi
Ghazal
paa.el chhanak rahii hai nigaar-e-KHayaal kii
kuchh ehtimaam-e-raqs karo mai.n nashe me.n huu.n
Saghar Siddiqui
Ghazal
ehtimaam-e-parda ne khol dii.n na.ii raahe.n
vo jahaa.n chhupaa jaa kar meraa saamnaa paayaa
Shaad Aarfi
Ghazal
ab ahl-e-dard ye jiine kaa ehtimaam kare.n
use bhulaa ke Gam-e-zindagii kaa naam kare.n
Majrooh Sultanpuri
Ghazal
kabhii to ehtimaam-e-aarzuu bhii thaa zaruurii
ko.ii to ziist karne kaa bahaanaa chaahiye thaa
Bushra Ejaz
Ghazal
ye kaun aataa hai tanhaa.iyo.n me.n jaam liye
jilau me.n chaa.ndnii raato.n kaa ehtimaam liye