SEARCH RESULTS
Showing search results for "farebi-e-taasiir"
Sher MATCHES FOR "farebi-e-taasiir"
Sher
ye KHud-e-farebi-e-ehsaas-e-aarzuu to nahii.n
tirii talaash kahii.n apnii justujuu to nahii.n
Ummeed Fazli
Sher
Tasweer
Sher
Moghisuddin Fareedi
Sher
nahii.n hai rahnaa use bhii bahaar me.n 'taahir'
mujhe bhii mausam-e-shaadaab se nikalnaa hai
Tahir Adeem
Sher
'taahir' KHudaa kii raah me.n dushvaariyaa.n sahii
ishq-e-butaa.n me.n kaun sii aasaaniyaa.n rahii.n
Jafar Tahir
Sher
tuu jaan-e-mohabbat hai magar terii taraf bhii
ik KHvaahish-e-tash.hiir-e-vafaa le ga.ii ham ko
Saqi Faruqi
Sher
fareb-e-abr-e-karam bhii ba.Daa sahaaraa hai
balaa se naKHl-e-tamannaa KHizaa.n-rasiida nahii.n
Yagana Changezi
Sher
fareb-e-ahd-e-mohabbat kii saadgii kii qasam
vo jhuuT bol ki sach ko bhii pyaar aa jaa.e
Firaq Gorakhpuri
Sher
khulaa fareb-e-mohabbat dikhaa.ii detaa hai
ajab kamaal hai us bevafaa ke lahje me.n
Iftikhar Arif
Sher
aql kahtii hai dobaara aazmaanaa jahl hai
dil ye kahtaa hai fareb-e-dost khaate jaa.iye
Mahirul Qadri
Sher
fareb-e-qurb-e-yaar ho ki hasrat-e-supurdagii
kisii sabab se dil mujhe ye be-qaraar chaahiye
Tanveer Anjum
Sher
Iqbal Sohail
Sher
muddat se mai.n safar me.n huu.n vahm-o-gumaa.n ke saath
ye raasta tamaam fareb-e-nazar na ho
Muneer Sultanpuri
Sher
do gaz zamii.n fareb-e-vatan ke liye milii
vaise to aasmaa.n bhii bahut hai.n zamii.n bahut