SEARCH RESULTS
Showing search results for "fitna"
Sher MATCHES FOR "fitna"
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
'faraaz' ishq kii duniyaa to KHuub-suurat thii
ye kis ne fitna-e-hijr-o-visaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
Mirza Ghalib
Sher
Arsh Malsiyani
Sher
mujh ko aKHbaar sii lagtii hai.n tumhaarii baate.n
har na.e roz nayaa fitna bayaa.n kartii hai.n
Bashir Mehtaab
Sher
adaa-o-naaz kaa us ke kabhii javaab na thaa
vo jab bhii fitna thaa jab aalam-e-shabaab na thaa
Mah Lakhnavi
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
chashm-e-bad-duur ajab KHush-qad-o-qaamat hogaa
abhii fitna hai ko.ii din me.n qayaamat hogaa
Santokh Rai Betab
Sher
ye mere paas jo chup-chaap aa.e baiThe hai.n
hazaar fitna-e-mahshar uThaa.e baiThe hai.n
Nooh Narvi
Sher
jab tak ki na dekhaa thaa qad-e-yaar kaa aalam
mai.n mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hu.aa thaa
Mirza Ghalib
Sher
mohabbat zulf kaa aaseb jaaduu hai nigaaho.n kaa
mohabbat fitna-e-mahshar balaa-e-naa-gahaanii hai
Khar Dehlavi
Sher
uf gardish-e-hayaat tirii fitna-saaziyaa.n
apne vatan me.n duur hai.n ahl-e-vatan se ham
Wahid Premi
Sher
chaar-suu aatish-zanii kohraam curfew luuT maar
fitna-o-shar daur-e-haazir kaa muqaddar ban gayaa
Ayub Asar
Sher
lete hai.n log saa.ns bhii ab ehtiyaat se
chhoTaa saa hii sahii ko.ii fitna uThaa.iye
Shahzad Ahmad
Sher
us kaa pata kisii se na puuchho ba.Dhe chalo
fitna kisii galii me.n to hogaa uThaa hu.aa
Aasi Jhansvi
Sher
kyaa kyaa hai.n dard-e-ishq kii fitna-taraaziyaa.n
ham iltifaat-e-KHaas se bhii bad-gumaa.n rahe
Asghar Gondvi
Sher
jab ko.ii fitna-e-ayyaam nahii.n hotaa hai
zindagii kaa ba.Dii mushkil se yaqii.n hotaa hai