SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaafil"
Sher MATCHES FOR "gaafil"
Sher
Khwaja Meer Dard
Sher
aa.nkho.n se vo kabhii mirii ojhal nahii.n rahaa
Gaafil mai.n us kii yaad se ik pal nahii.n rahaa
Saadat Saeed
Sher
go mai.n rahaa rahiin-e-sitam-haa-e-rozgaar
lekin tire KHayaal se Gaafil nahii.n rahaa
Mirza Ghalib
Sher
ba.ad marne ke mirii qabr pe aayaa 'Gaafil'
yaad aa.ii mire iisaa ko davaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Sher
Bhartendu Harishchandra
Sher
lailatul-qadr hai har shab use har roz hai iid
jis ne mai-KHaane me.n maah-e-ramazaa.n dekhaa hai
Munawar Khan Ghafil
Sher
mai.n adam se bhii pare huu.n varna Gaafil baar-haa
merii aah-e-aatishii.n se baal-e-anqaa jal gayaa
Mirza Ghalib
Sher
jiite-jii qadr bashar kii nahii.n hotii saahab
yaad aa.egii tumhe.n merii vafaa mere ba.ad
Munawar Khan Ghafil
Sher
haqq-e-mehnat un Gariibo.n kaa samajhte gar amiir
apne rahne kaa makaa.n de Daalte mazduur ko
Munawar Khan Ghafil
Sher
rakh qadam hoshyaar ho kar ishq kii manzil me.n aah
jo hu.aa is raah me.n Gaafil Thikaane lag gayaa
Shah Naseer
Sher
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
vo sub.h ko is Dar se nahii.n baam par aataa
naama na ko.ii baa.ndh de suuraj kii kiran me.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
Gaafil KHudaa kii yaad pe mat bhuul ziinhaar
apne ta.ii.n bhulaa de agar tuu bhulaa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
haalaat-e-KHuu.n-aashaam se Gaafil nahii.n lekin
ai zulm tire haath pe bai.at nahii.n karte
Raunaq Naeem
Sher
Firaq Gorakhpuri
Sher
tark-e-sharaab bhii jo karuu.ngaa to mohtasib
to.Duu.ngaa tere sar se piyaala sharaab kaa
Munawar Khan Ghafil
Sher
ka.aba nahii.n hai zaahid-e-Gaafil nishaan-e-dost
dil Dhuu.nD aashiqo.n kaa yahii hai makaan-e-dost