SEARCH RESULTS
Showing search results for "ganj-e-nihaa.n"
Sher MATCHES FOR "ganj-e-nihaa.n"
Sher
laayaa hai miraa shauq mujhe parde se baahar
mai.n varna vahii KHalvatii-e-raaz-e-nihaa.n huu.n
Meer Taqi Meer
Sher
raaz-e-nihaa.n zabaan-e-aGyaar tak na pahu.nchaa
kyaa ek bhii hamaaraa KHat yaar tak na pahu.nchaa
Momin Khan Momin
Sher
yuu.n chup rahaa kare se to ho jaa.e hai junuu.n
zaKHm-e-nihaa.n kured ke kuchh ro liyaa karo
Bilqis Zafirul Hasan
Sher
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hairato.n ke silsile soz-e-nihaa.n tak aa ga.e
ham nazar tak chaahte the tum to jaa.n tak aa ga.e
Qabil Ajmeri
Sher
cigarette se jaa ke duur giraa KHaak ho gayaa
aaya sharar kii shakl me.n soz-e-nihaa.n kaa dard
Pranav Mishra Tejas
Sher
ye mere jazb-e-nihaa.n kaa hai mo.ajaza shaayad
ki dil me.n jhaa.nk ke dekhuu.n to tuu hii tuu nikle
Khawar Ludhianvi
Sher
ruu-ba-ruu hote hii jo soz-e-nihaa.n kar de 'ayaa.n
har kisii aa.nkh me.n kab itnaa hunar hotaa hai
Zain Ali Asif
Sher
Syed Kamran Zubair Kami
Sher
magar ye tiirgii jaane kaa naam letii nahii.n
mai.n nuur baa.nTtaa soz-e-nihaa.n kii zad me.n huu.n
Abid Wadood
Sher
'mus.hafii' kyuu.nke chhupe un se miraa dard-e-nihaa.n
yaar to baat ke andaaz se paa jaate hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Bedam Shah Warsi
Sher
ik vaqt thaa ki dil ko sukuu.n kii talaash thii
aur ab ye aarzuu hai ki dard-e-nihaa.n rahe
Aziz Warsi
Sher
karte nahii.n kisii pe ayaa.n ham ki ai 'saliim'
darmaan-e-zindagii ho ye dard-e-nihaa.n kahii.n