SEARCH RESULTS
Showing search results for "gard-o-Gubaar"
Sher MATCHES FOR "gard-o-Gubaar"
Sher
Shehzad Anjum Burhani
Sher
ye kamra aur ye gard-o-Gubaar us kaa hai
vo jis ne aanaa nahii.n intizaar us kaa hai
Yasmeen Habeeb
Sher
hamaaraa KHaak me.n milnaa bhii kaam aa hii gayaa
Gubaar ho ke sitaaro.n ke raaz-daa.n Thahre
Aale Ahmad Suroor
Sher
Abdul Hamid Adam
Sher
shaayad mizaaj ham se mukaddar hai yaar kaa
likkhaa hai us ne ham ko ba-KHatt-e-Gubaar KHat
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
Jaun Eliya
Sher
har samt gard-e-naaqa-e-lailaa buland hai
pahu.nche jo hausla ho kisii shahsavaar kaa
Altaf Hussain Hali
Sher
gar rahuu.n shahr me.n ho duud ke baa.is KHafaqaa.n
jaa.uu.n sahraa ko to dam gard-e-bayaabaa.n roke
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Idris Babar
Sher
hargiz na mujh se saaf hu.aa yaar yaa nasiib
KHat bhii likhaa jo us ne to KHatt-e-Gubaar me.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
vo alvidaa.a kaa manzar vo bhiigtii palke.n
pas-e-Gubaar bhii kyaa kyaa dikhaa.ii detaa hai
Shakeb Jalali
Sher
daaman jhaTak ke vaadii-e-Gam se guzar gayaa
uTh uTh ke dekhtii rahii gard-e-safar mujhe
Ali Sardar Jafri
Sher
dilchasp ho ga.ii tire chalne se rahguzar
uTh uTh ke gard-e-raah lipaTtii hai raah se
Jaleel Manikpuri
Sher
ko.ii chale to zamii.n saath saath chaltii hai
ye raaz ham pe ayaa.n gard-e-rahguzar se hu.aa
Amjad Islam Amjad
Sher
jis raah se uThaa huu.n vahii.n baiTh jaa.uu.ngaa
mai.n kaarvaa.n kii gard-e-safar huu.n zaraa Thahar