SEARCH RESULTS
Showing search results for "gardan-e-garduu.n"
Sher MATCHES FOR "gardan-e-garduu.n"
Sher
har ishaare par hai phir bhii gardan-e-tasliim KHam
jaantaa huu.n saaf dhoke de rahaa hai dil mujhe
Jigar Moradabadi
Sher
saabit hu.aa hai gardan-e-miinaa pe KHuun-e-KHalq
larze hai mauj-e-mai tirii raftaar dekh kar
Mirza Ghalib
Sher
Imam Bakhsh Nasikh
Sher
ye kah rahii hai ishaaro.n me.n gardish-e-garduu.n
ki jald ham ko.ii saKHt inqalaab dekhe.nge
Ahmaq Phaphoondvi
Sher
sadme se baal shiisha-e-garduu.n me.n pa.D gayaa
tum ne dikhaa.ii koThe par apnii kamar kise
Muneer Shikohabadi
Sher
saaraa parda hai du.ii kaa jo ye parda uTh jaa.e
gardan-e-shaiKH me.n zunnaar barhaman Daale
Ameer Minai
Sher
piyaa hai shiisha-e-garduu.n se jis ne ik jur.a
misaal-e-jaam vo baa-diida-e-pur-aab uThaa
Shah Naseer
Sher
har shab shab-e-baraat hai har roz roz-e-iid
sotaa huu.n haath gardan-e-miinaa me.n Daal ke
Haidar Ali Aatish
Sher
aalam-e-ishq me.n allaah-re nazar kii vus.at
nuqta-e-vahm hu.aa gumbad-e-garduu.n mujh ko
Sharaf Mujaddidi
Sher
sailaab-e-ishq Garq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
Mael Lakhnavi
Sher
kam milne kaa ehsaas-e-garaa.n lagtaa hai teraa
ab lutf-o-karam bhii tiraa pahle saa nahii.n hai
Masood Tanha
Sher
KHud apne aap se larzaa.n rahii ulajhtii rahii
uThaa na baar-e-garaa.n raat kii javaanii se
Jalib Nomani
Sher
zindagii Dhote hu.e log kahaa.n tak jaa.e.n
ko.ii is sang-e-garaa.n se nahii.n bach paayaa hai
Aharas siddiqui
Sher
jis khet se dahqaa.n ko mayassar nahii.n rozii
us khet ke har KHosha-e-gandum ko jalaa do
Allama Iqbal
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
ham ne bhugtaa hai pata hai hame.n kyaa hai duniyaa
sirf ik daana-e-gandum kii sazaa hai duniyaa
Nadim Nadeem
Sher
ik umr ho ga.ii hai use chaahte hu.e
ik umr se ye baar-e-garaa.n Dho rahe hai.n ham