SEARCH RESULTS
Showing search results for "gazanfar"
Sher MATCHES FOR "gazanfar"
Sher
hamaare haath se vo bhii nikal gayaa aaKHir
ki jis KHayaal me.n ham muddato.n se kho.e the
Ghazanfar
Sher
Ghazanfar
Sher
ajab tarah kaa adhuuraa-pan hai mire bayaa.n me.n
so meraa qissa kahii.n sunaane me.n rah gayaa hai
Ghazanfar Hashmi
Sher
har ek raat kahii.n duur bhaag jaataa huu.n
har ek sub.h ko.ii mujh ko khii.nch laataa hai
Ghazanfar
Sher
Ghazanfar
Sher
daftar me.n zehn ghar pe nigah raaste me.n paa.nv
jiine kii kaavisho.n me.n badan haath se gayaa
Ghazanfar
Sher
mai.n aisaa narm tabii.at kabhii na thaa pahle
zaruur lams ko.ii us kaa chhuu gayaa mujh ko
Ghazanfar
Sher
Ghazanfar
Sher
ham ki saahil ke tasavvur se sahm jaate hai.n
log kis tarah samundar me.n utarte ho.nge
Ghazanfar
Sher
zehn ke KHaano.n me.n jaane vaqt ne kyaa bhar diyaa
be-sabab hone lagii ik ek se an-ban mirii
Ghazanfar
Sher
ajiib baat hamaaraa hii KHuu.n hu.aa paanii
hamii.n ne aag me.n apne badan bhigo.e the