SEARCH RESULTS
Showing search results for "gaziida"
Sher MATCHES FOR "gaziida"
Sher
ye daaG daaG ujaalaa ye shab-gaziida sahar
vo intizaar thaa jis kaa ye vo sahar to nahii.n
Faiz Ahmad Faiz
Sher
shab-gaziida ko tire is kii KHabar hii kab thii
din jo aa.egaa Gam-e-laa-mutanaahii degaa
Faza Ibn e Faizi
Sher
Akhlaq Ahmad Ahan
Sher
baare duniyaa me.n raho Gam-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaa.n ki bahut yaad raho
Meer Taqi Meer
Sher
ham Gam-zada hai.n laa.e.n kahaa.n se KHushii ke giit
de.nge vahii jo paa.e.nge is zindagii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
kholaa darvaaza samajh kar mujh ko Gair
khaa ga.e dhokaa mirii aavaaz se
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
jitne gadaa-navaaz the kab ke guzar chuke
ab kyuu.n bichhaa.e baiThe hai.n ham boriyaa na puuchh
Josh Malihabadi
Sher
gayaa thaa maa.ngne KHushbuu mai.n phuul se lekin
phaTe libaas me.n vo bhii gadaa lagaa mujh ko
Aanis Moin
Sher
Shabbir Hasan
Sher
shab-e-firaaq kuchh aisaa KHayaal-e-yaar rahaa
ki raat bhar dil-e-Gam-diida be-qaraar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
rut badlii to zamii.n ke chehre kaa Gaaza bhii badlaa
ra.ng magar KHud aasmaan ne badle kaise kaise
Akbar Hyderabadi
Sher
Shah Naseer
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
aashiq-mizaaj rahte hai.n har vaqt taak me.n
siina ko is tarah se ubhaaraa na kiijiye
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ek rutba hai tire dar pe gadaa-o-shah kaa
aasmaa.n kaae liye phirtaa hai mehr-o-mah kaa
Ashique Akbarabadi
Sher
shaiKH chal tuu sharaab-KHaane me.n
mai.n tujhe aadmii banaa duu.ngaa