SEARCH RESULTS
Showing search results for "giraftaar"
Sher MATCHES FOR "giraftaar"
Sher
mujhe to qaid-e-mohabbat aziiz thii lekin
kisii ne mujh ko giraftaar kar ke chho.D diyaa
Shakeel Badayuni
Sher
bose biivii ke ha.nsii bachcho.n kii aa.nkhe.n maa.n kii
qaid-KHaane me.n giraftaar samajhiye ham ko
Fuzail Jafri
Sher
itnii kaavish bhii na kar merii asiirii ke liye
tuu kahii.n meraa giraftaar na samjhaa jaa.e
Saleem Ahmed
Sher
ab use log samajhte hai.n giraftaar miraa
saKHt naadim hai mujhe daam me.n laane vaalaa
Ahmad Faraz
Sher
jo giraftaar tumhaaraa hai vahii hai aazaad
jis ko aazaad karo tum kabhii aazaad na ho
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
mujhe KHushii ki giraftaar mai.n hu.aa teraa
to shaad ho ki hai aisaa shikaar asiir miraa
Qasim Ali Khan Afridi
Sher
jo apne jiite-jii ko ku.n.e.n me.n Dubo.iye
to chaah me.n kisii kii giraftaar ho.iye
Waliullah Muhib
Sher
be-shak asiir-e-gesuu-e-jaanaa.n hai.n be-shumaar
hai ko.ii ishq me.n bhii giraftaar dekhnaa
Haneef akhgar
Sher
jaane kab kaise giraftaar-e-mohabbat hu.e ham
jaane kab Dhal ga.e iqraar me.n inkaar ke ra.ng
Aleena Itrat
Sher
KHudaa jaane ajal ko pahle kis par rahm aa.egaa
giraftaar-e-qafas par yaa giraftaar-e-nasheman par
Yagana Changezi
Sher
daam-e-KHushbuu me.n giraftaar sabaa hai kab se
lafz iz.haar kii uljhan me.n pa.Daa hai kab se
Amjad Islam Amjad
Sher
pinhaa.n thaa daam-e-saKHt qariib aashiyaan ke
u.Dne na paa.e the ki giraftaar ham hu.e
Mirza Ghalib
Sher
gher letii hai ko.ii zulf, ko.ii buu-e-badan
jaan kar ko.ii giraftaar nahii.n hotaa yaar
Iftikhar Mughal
Sher
hai musiibat me.n giraftaar musiibat merii
jo bhii mushkil hai vo mere liye aasaanii hai
Akbar Masoom
Sher
kuchh is andaaz se sayyaad ne aazaad kiyaa
jo chale chhuT ke qafas se vo giraftaar chale
Mubarak Azimabadi
Sher
har taraf hashr me.n jhankaar hai zanjiiro.n kii
un kii zulfo.n ke giraftaar chale aate hai.n