SEARCH RESULTS
Showing search results for "giraftaar"
Ghazal MATCHES FOR "giraftaar"
Ghazal
ab use log samajhte hai.n giraftaar miraa
saKHt naadim hai mujhe daam me.n laane vaalaa
Ahmad Faraz
Ghazal
ham dohrii aziyyat ke giraftaar musaafir
paa.nv bhii hai.n shal shauq-e-safar bhii nahii.n jaataa
Ahmad Faraz
Ghazal
nau-giraftaar-e-vafaa sa.i-e-rihaa.ii hai abas
ham bhii uljhe the bahut daam se pahle pahle
Ahmad Faraz
Ghazal
Mirza Ghalib
Ghazal
Dar naala-haa-e-zaar se mere KHudaa ko maan
aaKHir navaa-e-murG-e-giraftaar bhii nahii.n
Mirza Ghalib
Ghazal
ik nazar roz kahii.n jaal bichhaa.e rakhtii
aur ham roz giraftaar hu.aa karte the
Saleem Kausar
Ghazal
nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-vafaa kyaa jaane.n
ko.ii naa-shaad sikhaa de unhe.n naalaa.n honaa
Chakbast Braj Narayan
Ghazal
ek aalam nazar aa.egaa giraftaar tumhe.n
apne gesuu-e-rasaa taa-ba-kamar jaane do
Miyan dad Khan Sayyah
Ghazal
gar zindagii yahii hai jo karte hai.n ham asiir
to ve hii jii ga.e jo giraftaar mar ga.e
Meer Taqi Meer
Ghazal
KHabar 'iqbaal' kii laa.ii hai gulistaa.n se nasiim
nau-giraftaar pha.Daktaa hai tah-e-daam abhii
Allama Iqbal
Ghazal
saudaa tirii zulfo.n kaa gayaa saath hamaare
mar kar bhii na chhuuTe vo giraftaar hamii.n the
Taashshuq Lakhnavi
Ghazal
pur-soz nazar-baaz o niko-biin o kam aarzuu
aazaad o giraftaar o tahii kiisa o KHursand
Allama Iqbal
Ghazal
har saa.ns ukha.D jaane kii koshish me.n pareshaa.n
siine me.n ko.ii hai jo giraftaar bahut hai
Farhat Ehsas
Ghazal
kal tirii hosh-ruhaa.ii se hu.aa thaa aazaad
aaj phir ik na.e jaaduu me.n giraftaar huu.n mai.n
Mehshar Afridi
Ghazal
yaa to mai.n KHud hii rihaa.ii ke liye huu.n be-taab
yaa giraftaar ko.ii mere sivaa hai mujh me.n
Irfan Sattar
Ghazal
gul-e-umiid farozaa.n rahe tirii KHushbuu
ki log use bhii giraftaar karnaa chaahte hai.n