SEARCH RESULTS
Showing search results for "gosha"
Sher MATCHES FOR "gosha"
Sher
Allama Iqbal
Sher
Rajinder Manchanda Bani
Sher
tuu hai aur aish hai aur anjuman-aaraa.ii hai
mai.n huu.n aur ranj hai aur gosha-e-tanhaa.ii hai
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
kahaa.n mai.n aur kahaa.n gosha-nashiinii kaa ye elaan
ye saaraa silsila mash.huur hone ke liye thaa
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
gosha-e-dil kii KHamoshii kaa tamannaa.ii mai.n
aur ha.ngaame uThaa laayaa hai baazaar se tuu
Shahzad Ahmad
Sher
Meer Mohammadi Bedar
Sher
is adab-gaah kuu.n tuu.n masjid-e-jaame mat buujh
shaiKH be-baak na jaa gosha-e-mai-KHaane me.n
Siraj Aurangabadi
Sher
kaun puuchhe mujh se merii gosha-giirii kaa sabab
kaun samjhe dar kabhii diivaar kar lenaa miraa
Mohammad Ahmad Ramz
Sher
ko.ii tanhaa.ii kaa gosha ko.ii kunj-e-aafiyat
aashiq-o-maashuuq yakjaa ho.n kahaa.n ai aasmaa.n
Abdul Aziz Khalid
Sher
chhupaa na gosha-nashiinii se raaz-e-dil 'vahshat'
ki jaantaa hai zamaana mire suKHan se mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
Sher
be tere mujhe diid kaa kuchh shauq nahii.n hai
tuu parda-nashii.n hai to nigah gosha-nashii.n hai