SEARCH RESULTS
Showing search results for "gufta"
Sher MATCHES FOR "gufta"
Sher
jo ye kahe ki reKHta kyuu.nke ho rashk-e-faarsii
gufta-e-'Gaalib' ek baar pa.Dh ke use sunaa ki yuu.n
Mirza Ghalib
Sher
zamaana husn nazaakat balaa jafaa shoKHii
simaT ke aa ga.e sab aap kii adaa.o.n me.n
Kalidas Gupta Raza
Sher
dikhaavaa hii karnaa hai to phir ba.Daa kar
tuu shaa.ir nahii.n KHud ko aashiq kahaa kar
Anant Gupta
Sher
zabt kartaa huu.n to ghuTtaa hai qafas me.n miraa dam
aah kartaa huu.n to sayyaad KHafaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
mai.n KHud me.n guu.njtaa huu.n ban ke teraa sannaaTaa
mujhe na dekh mirii tarah be-zabaa.n ban kar
Manmohan Talkh
Sher
rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis umiid pe kahiye ki aarzuu kyaa hai
Mirza Ghalib
Sher
zindagii firdaus-e-gum-gashta ko paa saktii nahii.n
maut hii aatii hai ye manzil dikhaane ke liye
Hafeez Jalandhari
Sher
rah-e-qaraar ajab raah-e-be-qaraarii hai
ruke hu.e hai.n musaafir safar bhii jaarii hai
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
sher mere bhii hai.n pur-dard va-lekin 'hasrat'
'miir' kaa sheva-e-guftaar kahaa.n se laa.uu.n
Hasrat Mohani
Sher
azal se taa-ba-abad ek hii kahaanii hai
isii se ham ko na.ii daastaa.n banaanii hai
Kalidas Gupta Raza
Sher
ham na maane.nge KHamoshii hai tamannaa kaa mizaaj
haa.n bharii bazm me.n vo bol na paa.ii hogii
Kalidas Gupta Raza
Sher
Ram Awtar Gupta Muztar
Sher
bachpan ne hame.n dii hai ye shiiriinii-e-guftaar
urdu nahii.n ham maa.n kii zabaa.n bol rahe hai.n
Azar Barabankavi
Sher
jo sukh ke ujaale me.n thaa parchhaa.ii.n hamaarii
ab dukh ke a.ndhere me.n vo saayaa nahii.n dekhaa