SEARCH RESULTS
Showing search results for "gul-e-gulzaar"
Sher MATCHES FOR "gul-e-gulzaar"
Sher
gulshan me.n havaa se jo khulaa yaar kaa siina
hasrat se gayaa phaT gul-o-gulzaar kaa siina
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Unknown
Sher
pii baada-e-ahmar to ye kahne lagaa gul-ruu
mai.n surKH huu.n tum surKH zamii.n surKH zamaa.n surKH
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
gulzaar me.n phir ko.ii gul-e-taaza khilaa kyaa
ghabraa.ii sii phirtii hai tuu ai baad-e-sabaa kyaa
Hatim Ali Mehr
Sher
garche tum taaza gul-e-gulshan-e-ra.anaa.ii ho
phir bhii ye aib hai ik tum me.n ki harjaa.ii ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Sarvat Husain
Sher
aaGosh me.n mahkoge dikhaa.ii nahii.n doge
tum nik.hat-e-gulzaar ho ham parda-e-shab hai.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
sair-e-gulzaar mubaarak ho sabaa ko ham to
ek parvaaz na kii thii ki giraftaar hu.e
Meer Taqi Meer
Sher
us gul kaa pataa gar nahii.n dete ho to yaaro
itnaa to bataa do dar-e-gulzaar kidhar hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tere qurbaan 'qamar' mu.nh sar-e-gulzaar na khol
sadqe us chaa.nd sii suurat pe na ho jaa.e bahaar
Qamar Jalalvi
Sher
nazr ko kis gul-e-nau-rasta ke daaman me.n nasiim
bhar ke phuulo.n kaa ik ambaar liye phirtii hai
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Shah Naseer
Sher
nigah-e-naaz se is chust qabaa ne dekhaa
shauq betaab gul-e-chaak-e-garebaa.n samjhaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
mai.n nahii.n jaa paa.uu.ngaa yaaro suu-e-gulzaar abhii
dekhnii hai aab-juu-e-ziist kii raftaar abhii
Habib Tanvir
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
barso.n gul-e-KHurshiid o gul-e-maah ko dekhaa
taaza ko.ii dikhlaa.e hame.n charKH-e-kuhan phuul
Khwaja Mohammad Wazir
Sher
royaa tamaam umr vo shabnam ke saath saath
phir kyo.n kahuu.n ki dard-e-gul-e-tar me.n kuchh na thaa
Qamar Rais Bahraichi
Sher
usii huur kii ra.ngat u.Dii rone se hamaare
ra.ng-e-gul-e-firdaus bhii kachchaa nazar aayaa