SEARCH RESULTS
Showing search results for "gumbad"
Sher MATCHES FOR "gumbad"
Sher
Allama Iqbal
Sher
dekh rah jaa.e na tuu KHvaahish ke gumbad me.n asiir
ghar banaataa hai to sab se pahle darvaaza lagaa
Arsh Siddiqui
Sher
kha.Daa huu.n zer-e-falak gumbad-e-sadaa me.n 'muniir'
ki jaise haath uThaa ho ko.ii du.aa ke liye
Muneer Niyazi
Sher
guu.njuu.ngaa tere zehn ke gumbad me.n raat-din
jis ko na tuu bhulaa sake vo guftuguu huu.n mai.n
Bashir Saifi
Sher
har shaKHs yahaa.n gumbad-e-be-dar kii tarah hai
aavaaz pe aavaaz do suntaa nahii.n ko.ii
Mohsin Zaidi
Sher
Haidar Ali Aatish
Sher
vo maqaamaat-e-muqaddas vo tire gumbad o qaus
aur miraa aise nishaanaat kaa zaa.er honaa
Zafar Iqbal
Sher
har shaKHs ko fareb-e-nazar ne kiyaa shikaar
har shaKHs gum hai gumbad-e-jaa.n ke hisaar me.n
Farrukh Zohra Gilani
Sher
Nazeer Akbarabadi
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
aalam-e-ishq me.n allaah-re nazar kii vus.at
nuqta-e-vahm hu.aa gumbad-e-garduu.n mujh ko
Sharaf Mujaddidi
Sher
gumbad me.n gard-baad ke majnuu.n ne ghar kiyaa
sar-gashta aisaa kaun ki chakkar me.n ghar kare
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
taa-sub.h mirii aah-e-jahaa.n-soz se kal raat
kyaa gumbad-e-aflaak ye hammaam saa thaa garm
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
muqayyad ho na jaanaa zaat ke gumbad me.n yaaro
kisii rauzan kisii darvaaza ko vaa chho.D denaa
Ejaz Obaid
Sher
aa.nkhe.n jo uThaa.e to mohabbat kaa gumaa.n ho
nazro.n ko jhukaa.e to shikaayat sii lage hai