SEARCH RESULTS
Showing search results for "gunaah-gaar"
Sher MATCHES FOR "gunaah-gaar"
Sher
gunaah-gaar huu.n 'aarif' bas ek aa.nsuu kaa
fasaana-e-Gam-e-dil aur muKHtasar na hu.aa
Mazhar Arif
Sher
kahegii hashr ke din us kii rahmat-e-be-had
ki be-gunaah se achchhaa gunaah-gaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Sher
zaahid umiid-e-rahmat-e-haq aur hajv-e-mai
pahle sharaab pii ke gunaah-gaar bhii to ho
Ameer Minai
Sher
chaahaa thaa mafar dil ne magar zulf-e-girah-giir
pechaak banaatii rahii pechaak se baahar
Ejaz Gul
Sher
dil se kyaa puuchhtaa hai zulf-e-girah-giir se puuchh
apne diivaane kaa ahvaal tuu zanjiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
naa-chaar hai dil zulf-e-girah-giir ke aage
diivaane kaa kyaa chaltaa hai zanjiir ke aage
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
saik.Do.n man se bhii zanjiir mirii bhaarii hai
vaah kyaa shaukat-e-saamaan-e-gunah-gaarii hai
Naseem Dehlvi
Sher
kuchh is ke sa.nvar jaane kii tadbiir nahii.n hai
duniyaa hai tirii zulf-e-girah-giir nahii.n hai
Hafeez Banarasi
Sher
gardish-e-baKHt se ba.Dhtii hii chalii jaatii hai.n
mirii dil-bastagiyaa.n zulf-e-girah-giir ke saath
Bekhud Badayuni
Sher
naaKHun na pahu.nchaa aabla-e-dil talak 'hasan'
ham mar ga.e ye ham se na aaKHir girah ga.ii
Meer Hasan
Sher
ashko.n ke guhar bhii to nahii.n paas mire ab
mai.n soch rahii huu.n Gam-e-dauraa.n tujhe kyaa duu.n
Gulnar Aafreen
Sher
tiirath samajh us ko vo gar ashnaan ko aave
ashko.n ne bahaa.e hai.n mire ga.ng zamii.n par
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Gubaar-e-dil ko mai.n mizhgaan-e-yaar se jhaa.Daa
ki sach hai hotii hai jarob aastii.n ghar kii
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
dubkii hu.ii thii gurba-sifat KHvaahish-e-gunaah
chumkaarne se phuul ga.ii sher ho ga.ii