SEARCH RESULTS
Showing search results for "gunaah-gaar"
Ghazal MATCHES FOR "gunaah-gaar"
Ghazal
har shaKHs gunah-gaar hai maa'luum nahii.n kyo.n
aa.ngan me.n bhii diivaar hai maa'luum nahii.n kyo.n
Nazar Dwivedi
Ghazal
har taraf se na.e ilzaam kii baarish mujh par
apne hone kaa ye ehsaas-e-gunah-gaar bhii ho
Zafar Imam
Ghazal
sitam-zariif mohabbat ko jurm kahte hai.n
gunaah-gaar ko jiine kaa aasraa to milaa
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
sattaar hai vo Dhaa.nptaa hai sab gunah mire
varna 'asar' ke jaisaa gunah-gaar kaun hai
Abrar Asar
Ghazal
sach bolne ke jurm me.n jis ko sazaa milii
dekho vo KHush-nasiib gunah-gaar mai.n hii huu.n
Professor Mahmood Alam
Ghazal
gunaah-gaar hai.n ham zaat hai Gafuur us kii
KHudaa KHudaa kar are tuu nahii.n KHudaa vaa.iz
Jigar Biswani
Ghazal
gunaah-gaar to ramz-e-hariim tak pahu.nche
savaab vaalo.n ne baa.ng-e-daraa se baate.n kii.n
Mustafa Zaidi
Ghazal
mahruumii-e-jaaved gunah-gaar na kar de
ba.Dh jaatii hai kuchh zabt-e-musalsal se havas bhii
Ahmad Faraz
Ghazal
mastii me.n mujh se be-adabii hogii yaar se
mujh ko gunaah-gaar na jaam-o-subuu kare.n
Haidar Ali Aatish
Ghazal
ham gunaah-gaar-e-shab rokne se rukte kab
umr kaa taqaazaa thaa vaqt kii zaruurat thii
Naeem Sameer
Ghazal
nikal ke jaa.uu.n gunah-gaar-e-tiirgii se kidhar
har ek haath me.n ab raushnii kaa patthar hai
Musavvir Sabzwari
Ghazal
gunaah-gaar-o-siyahkaar huu.n magar phir bhii
KHudaa kii shaan ki mujh se KHafaa nahii.n hotaa
Mohammad Mustahsan Jami
Ghazal
kahegii hashr ke din us kii rahmat-e-be-had
ki be-gunaah se achchhaa gunaah-gaar rahaa
Hijr Nazim Ali Khan
Ghazal
taskii.n na mujh ko rahm na lafz-e-du’aa se thii
jo mujh gunaah-gaar ko kaar-e-sazaa se thii
Kuldeep Kumar
Ghazal
aah paabandii-e-aadaab-e-mohabbat tauba
ThanDii har saa.ns gunaah-gaar hu.ii jaatii hai