SEARCH RESULTS
Showing search results for "gunaah-gaar"
MOST RELEVANT MATCHES FOR "gunaah-gaar"
Sher
gunaah-gaar huu.n 'aarif' bas ek aa.nsuu kaa
fasaana-e-Gam-e-dil aur muKHtasar na hu.aa
Mazhar Arif
Ghazal
har shaKHs gunah-gaar hai maa'luum nahii.n kyo.n
aa.ngan me.n bhii diivaar hai maa'luum nahii.n kyo.n
Nazar Dwivedi
MORE MATCHES FOR "gunaah-gaar"
Ghazal
sitam-zariif mohabbat ko jurm kahte hai.n
gunaah-gaar ko jiine kaa aasraa to milaa
Aale Ahmad Suroor
Ghazal
sattaar hai vo Dhaa.nptaa hai sab gunah mire
varna 'asar' ke jaisaa gunah-gaar kaun hai
Abrar Asar
Ghazal
sach bolne ke jurm me.n jis ko sazaa milii
dekho vo KHush-nasiib gunah-gaar mai.n hii huu.n
Professor Mahmood Alam
Ghazal
gunaah-gaar hai.n ham zaat hai Gafuur us kii
KHudaa KHudaa kar are tuu nahii.n KHudaa vaa.iz
Jigar Biswani
Ghazal
gunaah-gaar to ramz-e-hariim tak pahu.nche
savaab vaalo.n ne baa.ng-e-daraa se baate.n kii.n
Mustafa Zaidi
Ghazal
mahruumii-e-jaaved gunah-gaar na kar de
ba.Dh jaatii hai kuchh zabt-e-musalsal se havas bhii
Ahmad Faraz
Nazm
baadban
ye meraa jism KHaak-o-KHuu.n kaa imtizaaj hii sahii
hazaar mai.n gunaah-gaar huu.n to kyaa
Kamal Ahmad Siddiqi
Ghazal
mastii me.n mujh se be-adabii hogii yaar se
mujh ko gunaah-gaar na jaam-o-subuu kare.n