SEARCH RESULTS
Showing search results for "haal-e-qismat"
Sher MATCHES FOR "haal-e-qismat"
Sher
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
is KHuubi-e-qismat pe mujhe naaz bahut hai
vo shaKHs mirii jaa.n kaa talabgaar hu.aa hai
Tanveer Anjum
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
sunaa haal-e-dil-e-'majruuh' shab ko
ko.ii hasrat sii hasrat thii bayaa.n me.n
Meer Mehdi Majrooh
Sher
ham itne pareshaa.n the ki haal-e-dil-e-sozaa.n
un ko bhii sunaayaa ki jo Gam-KHvaar nahii.n the
Razi Akhtar Shauq
Sher
is ishq me.n na puuchho haal-e-dil-e-dariida
tum ne sunaa to hogaa vo sher 'mus.hafii' kaa
Ahmad Sagheer Siddiqui
Sher
chaahuu.n ki haal-e-vahshat-e-dil kuchh raqam karuu.n
bhaage.n huruuf vaqt-e-nigaarish qalam se duur
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
Sher
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii
aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Sher
bikhrii hu.ii vo zulf ishaaro.n me.n kah ga.ii
mai.n bhii shariik huu.n tire haal-e-tabaah me.n
Jaleel Manikpuri
Sher
matlab kaa zamaana hai 'naadir' ko.ii kyaa degaa
mujh soKHta-e-qismat ko degaa to KHudaa degaa
Nadir Shahjahanpuri
Sher
kyuu.n na apnii KHuubi-e-qismat pe itraatii havaa
phuul jaise ik badan ko chhuu kar aa.ii thii havaa