SEARCH RESULTS
Showing search results for "haazirii"
Sher MATCHES FOR "haazirii"
Sher
'hasrat' kii bhii qubuul ho mathuraa me.n haazirii
sunte hai.n aashiqo.n pe tumhaaraa karam hai aaj
Hasrat Mohani
Sher
abhii se falsafa-e-reg-zaar kii baate.n
abhii to 'ishq ke maktab me.n haazirii hu.ii hai
Shehzad Anjum Burhani
Sher
kisii ko ghar se nikalte hii mil ga.ii manzil
ko.ii hamaarii tarah umr bhar safar me.n rahaa
Ahmad Faraz
Sher
ye na thii hamaarii qismat ki visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahte yahii intizaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
kabhii to chau.nk ke dekhe ko.ii hamaarii taraf
kisii kii aa.nkh me.n ham ko bhii intizaar dikhe
Gulzar
Sher
tumhe.n zaruur ko.ii chaahato.n se dekhegaa
magar vo aa.nkhe.n hamaarii kahaa.n se laa.egaa
Bashir Badr
Sher
urdu hai jis kaa naam hamii.n jaante hai.n 'daaG'
hindostaa.n me.n dhuum hamaarii zabaa.n kii hai
Dagh Dehlvi
Sher
muKHtasar ye hai hamaarii daastaan-e-zindagii
ik sukuun-e-dil kii KHaatir umr bhar ta.Dpaa kiye
Moin Ahsan Jazbi
Sher
ham tum me.n kal duurii bhii ho saktii hai
vaj.h ko.ii majbuurii bhii ho saktii hai
Bedil Haidri
Sher
tar-daamanii pe shaiKH hamaarii na jaa.iyo
daaman nicho.D de.n to farishte vazuu kare.n