SEARCH RESULTS
Showing search results for "haft"
Sher MATCHES FOR "haft"
Sher
sad-yaad-e-yaad 'jaun' vo ha.ngaam-e-dil ki jab
ham ek gaam ke na the par haft-KHvaa.n ke the
Jaun Eliya
Sher
abhii zamiin ko haft aasmaa.n banaanaa hai
isii jahaa.n ko mujhe do-jahaa.n banaanaa hai
Akbar Hameedi
Sher
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
teraa chup rahnaa mire zehn me.n kyaa baiTh gayaa
itnii aavaaze.n tujhe dii.n ki galaa baiTh gayaa
Tahzeeb Hafi
Sher
ye ek baat samajhne me.n raat ho ga.ii hai
mai.n us se jiit gayaa huu.n ki maat ho ga.ii hai
Tahzeeb Hafi
Sher
apnii mastii me.n bahtaa dariyaa huu.n
mai.n kinaara bhii huu.n bha.nvar bhii huu.n
Tahzeeb Hafi
Sher
vo jis kii chhaa.nv me.n pachchiis saal guzre hai.n
vo pe.D mujh se ko.ii baat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
bataa ai abr musaavaat kyuu.n nahii.n kartaa
hamaare gaa.nv me.n barsaat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
tamaam naaKHudaa saahil se duur ho jaa.e.n
samundaro.n se akele me.n baat karnii hai
Tahzeeb Hafi
Sher
Tahzeeb Hafi
Sher
mai.n jis ke saath ka.ii din guzaar aayaa huu.n
vo mere saath basar raat kyuu.n nahii.n kartaa