SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-saf-e-mizhgaa.n"
Sher MATCHES FOR "ham-saf-e-mizhgaa.n"
Sher
KHayaal us saf-e-mizhgaa.n kaa dil me.n aa.egaa
hamaare mulk me.n bhartii sipaah kii hogii
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
mast haathii hai tirii chashm-e-siyah-mast ai yaar
saf-e-mizhgaa.n use ghere hu.e hai bhaalo.n se
Haidar Ali Aatish
Sher
go ki ham saf.ha-e-hastii pe the ek harf-e-Galat
lekin uTThe bhii to ik naqsh biThaa kar uThe
Momin Khan Momin
Sher
hotaa hai saaf ruu-e-kitaabii se ye ayaa.n
kaafir hai go vo but magar ahl-e-kitaab hai
Ranjoor Azimabadi
Sher
kuchh ham ko imtiyaaz nahii.n saaf o durd kaa
ai saaqiyaan-e-bazm bayaariid harche hast
Nazeer Akbarabadi
Sher
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
patthar na phe.nk dekh zaraa ehtiyaat kar
hai sat.h-e-aab par ko.ii chehra banaa hu.aa
Shahzad Ahmad
Sher
ai mauj-e-KHush-KHiraam zaraa tez tez chal
bantii hai sat.h-e-aab kinaara kabhii kabhii
Aziz Tamannai
Sher
kyaa kyaa badan-e-saaf nazar aate hai.n ham ko
kyaa kyaa shikam o naaf nazar aate hai.n ham ko
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
sat.h-e-dariyaa kaa ye saffaak sukuu.n hai dhokaa
ye tirii naav kisii vaqt Dubo saktaa hai
Tahseen Firaqi
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham
Shakeel Badayuni
Sher
abhii se shikva-e-past-o-buland ham-safro
abhii to raah bahut saaf hai abhii kyaa hai
Rais Amrohvi
Sher
basaan-e-aa.ina ham ne to chashm vaa kar lii
jidhar nigaah kii saaf us ko barmalaa dekhaa
Shah Naseer
Sher
saaqii nazar na aa.e to gardan jhukaa ke dekh
shiishe me.n maahtaab hai sach boltaa huu.n mai.n
Unknown
Sher
gar dekhiye to KHaatir-e-naashaad shaad hai
sach puuchhiye to hai dil-e-naakaam kaam kaa
Ismail Merathi
Sher
Tariq Islam Kukravi
Sher
Muztar Khairabadi
Sher
'saif' andaaz-e-bayaa.n rang badal detaa hai
varna duniyaa me.n ko.ii baat na.ii baat nahii.n