SEARCH RESULTS
Showing search results for "ham-zulf"
Sher MATCHES FOR "ham-zulf"
Sher
do sagii bahno.n kii do ga.njo.n se shaadii ho ga.ii
aur ye be-zulf bhii ham-zulf kahlaane lage
Ahmad Alvi
Sher
dil se kyaa puuchhtaa hai zulf-e-girah-giir se puuchh
apne diivaane kaa ahvaal tuu zanjiir se puuchh
Imdad Imam Asar
Sher
sarv ko dekh ke kahtaa hai dil-e-basta-e-zulf
ham giraftaar hai.n is baaG me.n aazaad hai.n sab
Amanat Lakhnavi
Sher
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
saudaa-e-zulf-e-yaar me.n hai talKH zindagii
ye zahr ham ne mol liyaa saa.np paal ke
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
hai dil me.n zulf-e-yaar ke aalam ko dekhiye
pha.nste hai.n aap daam me.n ham ham ko dekhiye
Maroof Dehlvi
Sher
girte rahe nujuum andhere kii zulf se
shab bhar rahii.n KHamoshiyaa.n saayo.n se ham-kanaar
Adil Mansuri
Sher
uljhaa hai magar zulf me.n taqriir kaa lachhaa
suljhii hu.ii ham ne na sunii baat tumhaarii
Muneer Shikohabadi
Sher
nikal gayaa thaa vo hasiin apnii zulf baa.ndh kar
havaa kii baaqiyaat ko sameTte rahe hai.n ham
Azhar Faragh
Sher
sab ke jaisii na banaa zulf ki ham saada-nigaah
tere dhoke me.n kisii aur ke shaane lag jaa.e.n
Farhat Ehsas
Sher
ham us kii zulf kii zanjiir me.n hu.e hai.n asiir
sajan ke sar kii balaa aa pa.Dii hamaare gale
Wali Uzlat
Sher
ham na kahte the ki saudaa zulf kaa achchhaa nahii.n
dekhiye to ab sar-e-baazaar rusvaa kaun hai
Aagha Akbarabadi
Sher
ham se paa.ii nahii.n jaatii kamar us kii ai zulf
tuu hii kuchh raah bataa de to kamar paidaa ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jab bhii us zulf-e-pareshaa.n kii havaa aatii hai
ham to KHushbuu kii tarah ghar se nikal jaate hai.n
Haneef Akhgar
Sher
dil KHush na hu.aa zulf-e-pareshaa.n se nikal kar
pachhtaa.e ham is shaam-e-Gariibaa.n se nikal kar
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
'iqbaal' lakhna.uu se na dillii se hai Garaz
ham to asiir hai.n KHam-e-zulf-e-kamaal ke
Allama Iqbal
Sher
laam nastaaliiq kaa hai us but-e-KHush-KHat kii zulf
ham to kaafir ho.n agar bande na ho.n is laam ke
Unknown
Sher
ham gabruu ham musalmaa.n ham jam.a ham pareshaa.n
ik silsila ba.ndhaa us zulf-e-dotaa se dekhaa