SEARCH RESULTS
Showing search results for "hanzal"
Sher MATCHES FOR "hanzal"
Sher
Meer Taqi Meer
Sher
bas ik jhijak hai yahii haal-e-dil sunaane me.n
ki teraa zikr bhii aa.egaa is fasaane me.n
Kaifi Azmi
Sher
hazaar barq gire laakh aa.ndhiyaa.n uTThe.n
vo phuul khil ke rahe.nge jo khilne vaale hai.n
Sahir Ludhianvi
Sher
ham labo.n se kah na paa.e un se haal-e-dil kabhii
aur vo samjhe nahii.n ye KHaamushii kyaa chiiz hai
Nida Fazli
Sher
log jis haal me.n marne kii du.aa karte hai.n
mai.n ne us haal me.n jiine kii qasam khaa.ii hai
Ameer Qazalbash
Sher
na shab o roz hii badle hai.n na haal achchhaa hai
kis barhaman ne kahaa thaa ki ye saal achchhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
hazaar sham.a farozaa.n ho raushnii ke liye
nazar nahii.n to a.ndheraa hai aadmii ke liye
Nushur Wahidi
Sher
haath rakh kar jo vo puuchhe dil-e-betaab kaa haal
ho bhii aaraam to kah duu.n mujhe aaraam nahii.n
Dagh Dehlvi
Sher
hazaar baar jo maa.ngaa karo to kyaa haasil
du.aa vahii hai jo dil se kabhii nikaltii hai
Dagh Dehlvi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
ro.e.n na abhii ahl-e-nazar haal pe mere
honaa hai abhii mujh ko KHaraab aur ziyaada
Asrarul Haq Majaz
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
Bahadur Shah Zafar
Sher
jab mai.n kahtaa huu.n ki yaa allaah meraa haal dekh
hukm hotaa hai ki apnaa naama-e-aamaal dekh
Akbar Allahabadi
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e