SEARCH RESULTS
Showing search results for "harba-haa-e-bahaar"
Sher MATCHES FOR "harba-haa-e-bahaar"
Sher
rang-e-shikasta sub.h-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa
Mirza Ghalib
Sher
hai mausam-e-bahaar kaa aaGaaz qahr hai
ab bhii agar chaman me.n havaa mo'tadil na ho
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jaan-e-jaa.n maayuus mat ho haalat-e-baazaar se
shaayad agle saal tak diivaana-pan milne lage
Nomaan Shauque
Sher
mujhe to ranj qabaa-haa-e-taar-taar kaa hai
KHizaa.n se ba.Dh ke gulo.n par sitam bahaar kaa hai
Shaukat Wasti
Sher
Insha Allah Khan Insha
Sher
bhii.D hai bar-sar-e-baazaar kahii.n aur chale.n
aa mire dil mire Gam-KHvaar kahii.n aur chale.n
Aitbar Sajid
Sher
ye zaKHm-e-ishq hai koshish karo haraa hii rahe
kasak to jaa na sakegii agar ye bhar bhii gayaa
Sabir Zafar
Sher
ye tamaashaa sar-e-baazaar nahii.n ho saktaa
har ko.ii meraa KHariidaar nahii.n ho saktaa
Masood Tanha
Sher
harba hai aashiqo.n kaa faqat aah-e-pechdaar
darvesh log rakhte hai.n jaise hiran kii shaaKH
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
qafas se duur sahii mausam-e-bahaar to hai
asiiro aa.o zaraa zikr-e-aashiyaa.n ho jaa.e
Siraj Lakhnavi
Sher
ab to hai sirf aamad-e-fasl-e-bahaar yaad
dil ek phuul thaa jo sar-e-shaaKH jal gayaa
Azizunnisa Naz
Sher
ye irtiqaa-e-bashar kii hai kaun sii manzil
ki is kii zad me.n KHudaa bhii hai kaa.enaat bhii hai
Afsar Mahpuri
Sher
haa.e zanjiir-shikan vo kashish-e-fasl-e-bahaar
aur zindaa.n se nikalnaa tire diivaane kaa
Riyaz Khairabadi
Sher
Mirza Asman Jah Anjum
Sher
fatvaa diyaa hai muftii-e-abr-e-bahaar ne
tauba kaa KHuun baada-kasho.n ko halaal hai
Jaleel Manikpuri
Sher
yaar ko dekhte hii mar ga.e ai 'bahr' afsos
KHaak merii ko.ii aa.nkho.n me.n qazaa kii jho.nke