SEARCH RESULTS
Showing search results for "hariim-e-naaz"
Sher MATCHES FOR "hariim-e-naaz"
Sher
hariim-e-naaz ke parde me.n jo nihaa.n thaa kabhii
usii ne shoKH adaa.e.n dikhaa ke luuT liyaa
Anwar Taban
Sher
qadam apne hariim-e-naaz me.n is shauq se rakhnaa
ki jo dekhe mire dil ko tumhaaraa aastaa.n samjhe
Figar Unnavi
Sher
KHalvat-e-naaz me.n kuchh aur hii raunaq hotii
ko.ii KHalvat me.n agar anjuman-aaraa hotaa
Nazneen Begum Naz
Sher
miTaa miTaa saa tasavvur hai naaz maazii kaa
hayaat-e-nau hai ab is umr-e-raa.egaa.n se gurez
Nazneen Begum Naz
Sher
S A Mehdi
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
rusvaa agar na karnaa thaa aalam me.n yuu.n mujhe
aisii nigaah-e-naaz se dekhaa thaa kyuu.n mujhe
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
hariim-e-dil me.n jab aataa hai naaz farmaataa
tarab ke phuul khilaataa hai ye musavvir-e-Gam
Izhaar Malihabadi
Sher
ai tarah-daar-e-ishva-taraaz-e-dayaar-e-naaz
ruKHsat hu.aa huu.n tere liye dil-galii se mai.n
Jaun Eliya
Sher
aa.e.n pasand kyaa use duniyaa kii raahate.n
jo lazzat-aashnaa-e-sitam-haa-e-naaz thaa
Jagat Mohan Lal Ravan
Sher
ghar-ba-ghar hai vo mast-e-ishva-o-naaz
dar-ba-dar ham KHaraab hote hai.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
rang-e-shikasta sub.h-e-bahaar-e-nazaara hai
ye vaqt hai shaguftan-e-gul-haa-e-naaz kaa
Mirza Ghalib
Sher
shor hariim-e-zaat me.n aaKHir uTThaa kyuu.n
andar dekhaa jaa.e ki baahar dekhaa jaa.e
Ahmad Mahfuz
Sher
'asGar' hariim-e-ishq me.n hastii hii jurm hai
rakhnaa kabhii na paa.nv yahaa.n sar liye hu.e
Asghar Gondvi
Sher
baraa.e ahl-e-jahaa.n laakh kaj-kulaah the ham
ga.e hariim-e-suKHan me.n to aajizii se ga.e
Irfan Sattar
Sher
jalva-e-yaar dekh kar tuur pe Gash hu.e kaliim
aql-o-KHirad kaa kaam kyaa mahfil-e-husn-o-naaz me.n
Anwar Saharanpuri
Sher
hariim-e-dil me.n Thahar yaa saraa-e-jaan me.n ruk
ye sab makaan hai.n tere kisii makaan me.n ruk
Mirza Athar Zia
Sher
ik nau-bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah
chehra faroG-e-mai se gulistaa.n kiye hu.e
Mirza Ghalib
Sher
partav se jis ke aalam-e-imkaa.n bahaar hai
vo nau-bahaar-e-naaz abhii rahguzar me.n hai